Sher of Amaan Ali Khan
ḳhush-nasībī hai tumhārī sar pe hai jo maañ kā haath
ham yatīmoñ ko pata hai ye du'ā kyā chiiz hai
KHush-nasibi hai tumhaari sar pe hai jo man ka hath
hum yatimon ko pata hai ye du'a kya chiz hai
ġhamoñ ko bech rahā huuñ maiñ is liye shāyad
kahā thā baap ne paisa bahut zarūrī hai
ghamon ko bech raha hun main is liye shayad
kaha tha bap ne paisa bahut zaruri hai
mujhe pata hai usī ne chalā.ī hai golī
nahīñ hai dasht meñ sayyād dūsrā koī
mujhe pata hai usi ne chalai hai goli
nahin hai dasht mein sayyaad dusra koi
ab āstīn ke sāñpoñ se duur rahnā hai
use kaho na kare phone baar baar mujhe
ab aastin ke sanpon se dur rahna hai
use kaho na kare phone bar bar mujhe
ik din dil-e-nādāñ ko samajh aa.egā sab kuchh
'ayyār nahīñ hai magar andhā bhī nahīñ hai
ek din dil-e-nadan ko samajh aaega sab kuchh
'ayyar nahin hai magar andha bhi nahin hai
maiñ ne dafnā.e vāldain apne
mujh se pūchho ki hausla kyā hai
main ne dafnae waldain apne
mujh se puchho ki hausla kya hai
dhueñ ne bhīñch dī chīḳheñ tabhī pata ye chalā
ki ghar meñ ek darīcha bahut zarūrī hai
dhuen ne bhinch di chiKHen tabhi pata ye chala
ki ghar mein ek daricha bahut zaruri hai
shab-e-ġham kī yuuñ bhī maiñ kartā huuñ 'izzat
ye shab 'umr meñ mujh se kaafī baḌī hai
shab-e-gham ki yun bhi main karta hun 'izzat
ye shab 'umr mein mujh se kafi baDi hai
us ne rakkhā thā haath sāhil par
tab se dariyā meñ bhī sharāre haiñ
us ne rakkha tha hath sahil par
tab se dariya mein bhi sharare hain
sab yaar sochte the rahegā vahī samāñ
ik maiñ hī bas bachā huuñ koī sau pachās meñ
sab yar sochte the rahega wahi saman
ek main hi bas bacha hun koi sau pachas mein
kuchh der to Dare tirī jādūgarī se ham
phir dekhne lage tujhe sanjīdgī se ham
kuchh der to Dare teri jadugari se hum
phir dekhne lage tujhe sanjidgi se hum
saath jab chhoḌ ga.e merā tum ai kūza-gar
ḳhud ko majbūrī meñ phir ḳhud hī tarāshā maiñ ne
sath jab chhoD gae mera tum ai kuza-gar
KHud ko majburi mein phir KHud hi tarasha main ne