Sher of Amber Waseem Allahabadi
tū muskurātī rahe hai ye aarzū merī
maiñ terī añkhoñ ko barsāt de nahīñ saktā
tu muskuraati rahe hai ye aarzu meri
main teri ankhon ko barsat de nahin sakta
zamāna guzrā havā phir se yaad aane lagā
na jaane kaun mujhe ḳhvāb phir dikhāne lagā
zamana guzra hawa phir se yaad aane laga
na jaane kaun mujhe KHwab phir dikhane laga
tirī nigāh banī aa.ina mirī ḳhātir
maiñ ḳhud ko dekh ke kal raat muskurāne lagā
teri nigah bani aaina meri KHatir
main KHud ko dekh ke kal raat muskurane laga
mujhe yaqīñ hai mirā saath de nahīñ saktā
jo mere hāthoñ meñ ab haath de nahīñ saktā
mujhe yaqin hai mera sath de nahin sakta
jo mere hathon mein ab hath de nahin sakta
hijāb-e-abr ruḳh-e-mahtāb se chhalkā
vo apne chehre se parde ko jab haTāne lagā
hijab-e-abr ruKH-e-mahtab se chhalka
wo apne chehre se parde ko jab haTane laga