Sher of Ameen Tirmizi
tamām shahr gale lag gayā to kyā hāsil
vo ham ko muñh jo lagā.e to eid ho jaa.e
tamam shahr gale lag gaya to kya hasil
wo hum ko munh jo lagae to eid ho jae
tum se kahā thā baam pe mat jaanā aaj shaam
dekhā naañ saare shahr kī to eid ho ga.ī
tum se kaha tha baam pe mat jaana aaj sham
dekha nan sare shahr ki to eid ho gai
maiñ jab jab bhī kisī kāġhaz pe terā naam likhtā huuñ
chamak tahrīr se aur mahak kāġhaz se aatī hai
main jab jab bhi kisi kaghaz pe tera nam likhta hun
chamak tahrir se aur mahak kaghaz se aati hai
maiñ ye āñkheñ bhī tirī nazr to kar duuñ lekin
terī tasvīr inheñ dekhtī rahtī hai bahut
main ye aankhen bhi teri nazr to kar dun lekin
teri taswir inhen dekhti rahti hai bahut
kyā kahūñ kyā surūr paayā hai
jab se vo haath haath aaya hai
kya kahun kya surur paya hai
jab se wo hath hath aaya hai
sar-ba-kaf ḳhud hī maiñ maqtal meñ chalā aaya huuñ
log kahte haiñ ki vo shoḳh hai shamshīr-ba-kaf
sar-ba-kaf KHud hi main maqtal mein chala aaya hun
log kahte hain ki wo shoKH hai shamshir-ba-kaf
zhāla-bārī se ḳhauf aatā hai
un kī aamad kahīñ na Tal jaa.e
zhaala-bari se KHauf aata hai
un ki aamad kahin na Tal jae
tarkash-o-dām kī hājat hī nahīñ hai tum ko
tum ho sayyād to ḳhud said hai fitrāk-ba-kaf
tarkash-o-dam ki hajat hi nahin hai tum ko
tum ho sayyaad to KHud said hai fitrak-ba-kaf
jab tirā qāmat-e-sho.ala-numā pahuñchā sar-e-bazm
saare hī shaiḳh khaḌe ho ga.e īmān-ba-kaf
jab tera qamat-e-shoala-numa pahuncha sar-e-bazm
sare hi shaiKH khaDe ho gae iman-ba-kaf