Sher of Ameer Nehtauri
ruuh se lipTe dard ke manzar
TuuT rahe haiñ zaḳhm ke paikar
ruh se lipTe dard ke manzar
TuT rahe hain zaKHm ke paikar
hogī na chārāgar tirī tadbīr kārgar
ham ko ḳhud apne zaḳhmoñ kī chāhat hai āj-kal
hogi na chaaragar teri tadbir kargar
hum ko KHud apne zaKHmon ki chahat hai aaj-kal
furqat kī shab ḳhāmoshiyāñ zaḳhmoñ kī phir añgḌā.iyāñ
āñkheñ jab apnī nam huiiñ bechārgī achchhī lagī
furqat ki shab KHamoshiyan zaKHmon ki phir angDaiyan
aankhen jab apni nam huin bechaargi achchhi lagi
vaqār-e-shauq se gir kar bhī vaar mat karnā
mile jo zaḳhmī parinda shikār mat karnā
waqar-e-shauq se gir kar bhi war mat karna
mile jo zaKHmi parinda shikar mat karna
dil ke zaḳhmoñ ko sajāne kā hunar rakhtā huuñ
mustaqil maiñ tirī yādoñ kā safar rakhtā huuñ
dil ke zaKHmon ko sajaane ka hunar rakhta hun
mustaqil main teri yaadon ka safar rakhta hun
ham apne zaḳhmoñ pe rakh leñ namak zarūrī hai
dayār-e-ishq meñ un kī mahak zarūrī hai
hum apne zaKHmon pe rakh len namak zaruri hai
dayar-e-ishq mein un ki mahak zaruri hai
dard ne lī añgḌā.ī aisī
zaḳhm kā ik ik Tāñkā TuuTā
dard ne li angDai aisi
zaKHm ka ek ek Tanka TuTa