aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
maiñ samajhtī huuñ jise yaum-e-vilādat apnā
dar-haqīqat vo mirī maut kā pahlā din thā
main samajhti hun jise yaum-e-wiladat apna
dar-haqiqat wo meri maut ka pahla din tha
mire dil meñ december jam gayā hai
pighal kar saal bhar bahtā rahegā
mere dil mein december jam gaya hai
pighal kar sal bhar bahta rahega
kyā musībat hai zindagī ya.anī
mujh ko jiinā paḌegā marne tak
kya musibat hai zindagi yani
mujh ko jina paDega marne tak
talāshtī huuñ maiñ dil kī kitāb meñ aksar
vo phuul tū ne jo mujh ko kabhī diyā hī nahīñ
talashti hun main dil ki kitab mein aksar
wo phul tu ne jo mujh ko kabhi diya hi nahin
kūḌe-dānoñ meñ laash kī sūrat
maiñ ne dekhe haiñ pyaar ke tohfe
kuDe-danon mein lash ki surat
main ne dekhe hain pyar ke tohfe
You have exhausted 5 free content pages per year. Register and enjoy UNLIMITED access to the whole universe of Urdu Poetry, Rare Books, Language Learning, Sufi Mysticism, and more.
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books