Anis Dehlavi
Ghazal 7
Sher-o-Shayari 11
jo dil bāñdhe vo jaadū jāntā hai
mirā mahbūb urdu jāntā hai
jo dil bandhe wo jadu jaanta hai
mera mahbub urdu jaanta hai
-
Share this
- See Ghazal
uḌā ga.e haiñ bahut dhuul jaane vaale log
chhaTe ġhubār to kuchh rāsta nazar aa.e
uDa gae hain bahut dhul jaane wale log
chhaTe ghubar to kuchh rasta nazar aae
-
Share this
- See Ghazal
aap kā koī safar be-samt be-manzil na ho
zindagī aisī na jiinā jis kā mustaqbil na ho
aap ka koi safar be-samt be-manzil na ho
zindagi aisi na jina jis ka mustaqbil na ho
-
Share this
- See Ghazal
karnā hai aap ko jo na.e rāstoñ kī khoj
sab jis taraf na jaa.eñ udhar jaanā chāhiye
karna hai aap ko jo nae raston ki khoj
sab jis taraf na jaen udhar jaana chahiye
-
Share this
- See Ghazal
us bevafā pe marne ko āmāda dil nahīñ
lekin vafā kī zid hai ki mar jaanā chāhiye
us bewafa pe marne ko aamada dil nahin
lekin wafa ki zid hai ki mar jaana chahiye
-
Share this
- See Ghazal