aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
1984 | Lahore, Pakistan
bas itnā sā hai ḳhulāsa mirī kahānī kā
ki ibtidā tirī āñkheñ haiñ intihā mirā 'ishq
bas itna sa hai KHulasa meri kahani ka
ki ibtida teri aankhen hain intiha mera 'ishq
hākim-e-shahr kī ḳhvāhish ki hukūmat kī jaa.e
varna hālāt to aise haiñ ki hijrat kī jaa.e
hakim-e-shahr ki KHwahish ki hukumat ki jae
warna haalat to aise hain ki hijrat ki jae
is liye kashkol meñ paḌtī hai bhiik
ham ne hai lāThī se laTkāyā huā
is liye kashkol mein paDti hai bhik
hum ne hai laThi se laTkaya hua
kahīñ bhī baat ho merā havāla aa hī jaatā hai
mohabbat ne bachāyā hai mujhe gumnām hone se
kahin bhi baat ho mera hawala aa hi jata hai
mohabbat ne bachaya hai mujhe gumnam hone se
maiñ chāhtā huuñ ki tujh sā dikhā.ī duuñ maiñ bhī
jamāl-e-yār kabhī mere ḳhadd-o-ḳhāl meñ aa
main chahta hun ki tujh sa dikhai dun main bhi
jamal-e-yar kabhi mere KHadd-o-KHal mein aa
You have exhausted 5 free content pages per year. Register and enjoy UNLIMITED access to the whole universe of Urdu Poetry, Rare Books, Language Learning, Sufi Mysticism, and more.
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books