Sher of Arshi Malik
kuud kar dīvār 'arshī' ġham gharoñ meñ aa base
anginat tā'vīz darvāzoñ pe laTke rah ga.e
kud kar diwar 'arshi' gham gharon mein aa base
anginat ta'wiz darwazon pe laTke rah gae
ik lafz bhī na lab se kahā aur ro diye
'arshī' uThā.e dast-e-du'ā aur ro diye
ek lafz bhi na lab se kaha aur ro diye
'arshi' uThae dast-e-du'a aur ro diye
lab-e-ḳhāmosh meñ hī jā-e-amāñ aaj bhī hai
varna kahne ko to har muñh meñ zabāñ aaj bhī hai
lab-e-KHamosh mein hi ja-e-aman aaj bhi hai
warna kahne ko to har munh mein zaban aaj bhi hai
tū chhuḌā kar haath ik din daf'atan kho jā.egā
aur merī jeb meñ terā pata rah jā.egā
tu chhuDa kar hath ek din daf'atan kho jaega
aur meri jeb mein tera pata rah jaega
tire aḳhlāq-o-ḳhasā.il tirī pahchān baneñ
naam logoñ ko qabīle kā batānā na paḌe
tere aKHlaq-o-KHasail teri pahchan banen
nam logon ko qabile ka batana na paDe
sab ke sab mil kar bhī mujh ko zer kar sakte na the
merā apnā haath shāmil hai mirī paspā.ī meñ
sab ke sab mil kar bhi mujh ko zer kar sakte na the
mera apna hath shamil hai meri paspai mein
kisī ke lahje kī yaḳh-bastagī qayāmat thī
ThiThur ke rah gayā lab par savāl kā mausam
kisi ke lahje ki yaKH-bastagi qayamat thi
ThiThur ke rah gaya lab par sawal ka mausam
ik 'umr se ulfat ke kaTahre meñ khaḌā hai
bhugtā.e haiñ is dil ne muqadmāt musalsal
ek 'umr se ulfat ke kaTahre mein khaDa hai
bhugtae hain is dil ne muqadmat musalsal