Sher of Ashwini Yadav
mujhe chhoḌ kar jo chalā gayā use yaad karne se kyā ġharaz
jo Thahar ga.e unheñ shukriya jo chale ga.e unheñ alvidāa’
mujhe chhoD kar jo chala gaya use yaad karne se kya gharaz
jo Thahar gae unhen shukriya jo chale gae unhen alwidaa’
tum se bichhaḌ ke phir koī hasrat nahīñ bachī
phir tere jaise shaḳhs se milnā nahīñ huā
tum se bichhaD ke phir koi hasrat nahin bachi
phir tere jaise shaKHs se milna nahin hua
ye maiñ ne kab kahā thā mujhe pyaar hī karo
lekin ye chāhne meñ koī harj to nahīñ
ye main ne kab kaha tha mujhe pyar hi karo
lekin ye chahne mein koi harj to nahin
ek 'arse ke baa'd maiñ ne tumheñ dekhā hai
ek 'arse ke baa'd phir se mujhe pyaar huā
ek 'arse ke ba'd main ne tumhein dekha hai
ek 'arse ke ba'd phir se mujhe pyar hua
man meñ aayā pahle tum ko tā'ne duuñ
ḳhair haTāo aur batāo kaise ho
man mein aaya pahle tum ko ta'ne dun
KHair haTao aur batao kaise ho
yaar bhalā kitnī bātoñ par hañsnā hai
hañste-hañste ham pāgal ho sakte haiñ
yar bhala kitni baaton par hansna hai
hanste-hanste hum pagal ho sakte hain
mujhe mat chheḌiye yāroñ ki ab maiñ
bahut uktā gayā huuñ ro paḌūñgā
mujhe mat chheDiye yaron ki ab main
bahut ukta gaya hun ro paDunga
yaar kisī ke ġham meñ tum mar jāoge
aur usī din maiñ pāgal ho jā.ūñgā
yar kisi ke gham mein tum mar jaoge
aur usi din main pagal ho jaunga
bārish ne ik ThanDak lā dī hai man meñ
lekin mujh ko aag lagānī hai phir se
barish ne ek ThanDak la di hai man mein
lekin mujh ko aag lagani hai phir se
duniyā tire surāġh ko ab pā gayā huuñ maiñ
lailā se lā-ilāh talak aa gayā huuñ maiñ
duniya tere suragh ko ab pa gaya hun main
laila se la-ilah talak aa gaya hun main
har ik aañsū kā badlā ho saktā hai
ye motī angāre bhī ban sakte haiñ
har ek aansu ka badla ho sakta hai
ye moti angare bhi ban sakte hain
zinda rahte milne vaale lākhoñ haiñ
mayyat par har girtā aañsū daulat hai
zinda rahte milne wale lakhon hain
mayyat par har girta aansu daulat hai