Sher of Asim nadeem Asi
husain aaj bhī qaa.em hai apnī sūrat par
yazīd chehre badaltā hai har zamāne meñ
husain aaj bhi qaem hai apni surat par
yazid chehre badalta hai har zamane mein
dost-dārī ke salīqe se bahut vāqif huuñ
ab mujhe haath milāne kā hunar aatā hai
dost-dari ke saliqe se bahut waqif hun
ab mujhe hath milane ka hunar aata hai
tujhe chhū kar mujhe kaisā lagegā
havā ke haath ban kar sochtā huuñ
tujhe chhu kar mujhe kaisa lagega
hawa ke hath ban kar sochta hun
tum un ke haat pe sikke nahīñ diye rakkho
ye andhe log haiñ aur raushnī ke bhūke haiñ
tum un ke hat pe sikke nahin diye rakkho
ye andhe log hain aur raushni ke bhuke hain
ik yaqīñ-parvar gumāñ aur ik hayāt-āmez ḳhvāb
jaise koī aa.egā aur uljhaneñ le jā.egā
ek yaqin-parwar guman aur ek hayat-amez KHwab
jaise koi aaega aur uljhanen le jaega
hamārā jism to phir jism Thahrā
darāḌeñ aib haiñ dīvār meñ bhī
hamara jism to phir jism Thahra
daraDen aib hain diwar mein bhi
jal rahā hai jo lab-e-bām abhī ek charāġh
bujh gayā ye bhī to phir raat mukammal hogī
jal raha hai jo lab-e-baam abhi ek charagh
bujh gaya ye bhi to phir raat mukammal hogi
mire ḳhamīr se ye kā.enāt uThāte hue
use ġhurūr bahut thā mujhe banāte hue
mere KHamir se ye kaenat uThate hue
use ghurur bahut tha mujhe banate hue
aag paanī bhī kabhī ek hue dekhe haiñ
ātish-e-zabt lahū meñ bhī nahīñ hal hogī
aag pani bhi kabhi ek hue dekhe hain
aatish-e-zabt lahu mein bhi nahin hal hogi
ujāloñ ke kisī autār hī se jā ke pūchho
jise sūraj kahā jaatā hai vo sūraj kahāñ hai
ujalon ke kisi autar hi se ja ke puchho
jise suraj kaha jata hai wo suraj kahan hai
zamīñ ke mālik-o-muḳhtār kī sunnat samajh kar
khaḌāveñ pahn liiñ aur bakriyāñ rakkhī huī haiñ
zamin ke malik-o-muKHtar ki sunnat samajh kar
khaDawen pahn lin aur bakriyan rakkhi hui hain
tapte sahrā ḳhuun piyeñge chaḌhtā sūraj Dhal jā.egā
baiThī huī hai jis meñ sakīna aaj vo ḳhema jal jā.egā
tapte sahra KHun piyenge chaDhta suraj Dhal jaega
baiThi hui hai jis mein sakina aaj wo KHema jal jaega
koshish kā ik tavīl safar thā aur us ke baa'd
paanī kī ek buuñd se patthar bhī phaT ga.e
koshish ka ek tawil safar tha aur us ke ba'd
pani ki ek bund se patthar bhi phaT gae
ujaaḌ raat meñ rah kar havā ke hote hue
koī to hai jo charāġhoñ kī baat kartā hai
ujaD raat mein rah kar hawa ke hote hue
koi to hai jo charaghon ki baat karta hai
hamārī kārobārī zindagī kā kul asāsa
ye kuchh sikke haiñ aur kuchh parchiyāñ rakkhī huī haiñ
hamari karobari zindagi ka kul asasa
ye kuchh sikke hain aur kuchh parchiyan rakkhi hui hain
vo kyā ki jis ko mayassar hai mustaqil honā
sarisht-e-zaḳhm meñ shāmil hai mundamil honā
wo kya ki jis ko mayassar hai mustaqil hona
sarisht-e-zaKHm mein shamil hai mundamil hona
vahī jin chādaroñ ko dasht meñ khīñchā gayā thā
tabarruk meñ ye un kī dhajjiyāñ rakkhī huī haiñ
wahi jin chadaron ko dasht mein khincha gaya tha
tabarruk mein ye un ki dhajjiyan rakkhi hui hain
maiñ ne us had se guzarne kī bahut koshish kī
jis jagah rang se tasvīr alag hotī hai
main ne us had se guzarne ki bahut koshish ki
jis jagah rang se taswir alag hoti hai
jhaaḌ kar ham ret apne paañv se
boTiyāñ chunte rahe sahrāoñ se
jhaD kar hum ret apne panw se
boTiyan chunte rahe sahraon se