aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
1995 | Pilibhit, India
tumhāre hijr meñ jab bhī calendar par nigāh Daalī
sitambar ke mahīne ko sitamgar hī paḌhā maiñ ne
tumhaare hijr mein jab bhi calendar par nigah Dali
sitambar ke mahine ko sitamgar hi paDha main ne
pūchhne vāloñ ne pūchhā haath kaise jal gayā
kaise batlā.eñ kisī ke dil pe rakkhā thā kabhī
puchhne walon ne puchha hath kaise jal gaya
kaise batlaen kisi ke dil pe rakkha tha kabhi
koī kashtī kahīñ maġhrūr ho jaa.e na paanī meñ
sukūt-e-bahr ko qasdan talātum honā paḌtā hai
koi kashti kahin maghrur ho jae na pani mein
sukut-e-bahr ko qasdan talatum hona paDta hai
jin kī uñglī thaam ke chalnā sīkhā thā
haa.e ab un ko būḌhā hote dekhnā hai
jin ki ungli tham ke chalna sikha tha
hae ab un ko buDha hote dekhna hai
hamāre sar pe pech-o-ḳham kā ye saafa virāsat hai
ki tum pagḌī samajhte ho jise ham taaj kahte haiñ
hamare sar pe pech-o-KHam ka ye safa wirasat hai
ki tum pagDi samajhte ho jise hum taj kahte hain
You have exhausted 5 free content pages per year. Register and enjoy UNLIMITED access to the whole universe of Urdu Poetry, Rare Books, Language Learning, Sufi Mysticism, and more.
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books