Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Ateeb Quadri's Photo'

Ateeb Quadri

1995 | Pilibhit, India

Sher of Ateeb Quadri

tumhāre hijr meñ jab bhī calendar par nigāh Daalī

sitambar ke mahīne ko sitamgar paḌhā maiñ ne

tumhaare hijr mein jab bhi calendar par nigah Dali

sitambar ke mahine ko sitamgar hi paDha main ne

pūchhne vāloñ ne pūchhā haath kaise jal gayā

kaise batlā.eñ kisī ke dil pe rakkhā thā kabhī

puchhne walon ne puchha hath kaise jal gaya

kaise batlaen kisi ke dil pe rakkha tha kabhi

koī kashtī kahīñ maġhrūr ho jaa.e na paanī meñ

sukūt-e-bahr ko qasdan talātum honā paḌtā hai

koi kashti kahin maghrur ho jae na pani mein

sukut-e-bahr ko qasdan talatum hona paDta hai

jin uñglī thaam ke chalnā sīkhā thā

haa.e ab un ko būḌhā hote dekhnā hai

jin ki ungli tham ke chalna sikha tha

hae ab un ko buDha hote dekhna hai

hamāre sar pe pech-o-ḳham ye saafa virāsat hai

ki tum pagḌī samajhte ho jise ham taaj kahte haiñ

hamare sar pe pech-o-KHam ka ye safa wirasat hai

ki tum pagDi samajhte ho jise hum taj kahte hain

aglī nasleñ kar sakeñ tafrīq-e-duniyā-o-iram

maaoñ ke qissoñ meñ bhī shaddād honā chāhiye

agli naslen kar saken tafriq-e-duniya-o-iram

maon ke qisson mein bhi shaddad hona chahiye

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

GET YOUR PASS
Speak Now