aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Azhar Adeeb's Photo'

Azhar Adeeb

1949 | Ghotki, Pakistan

Poet,Prosaist

Poet,Prosaist

Azhar Adeeb

Ghazal 16

Sher-o-Shayari 34

ham ne ghar salāmtī ke liye

ḳhud ko ghar se nikāl rakkhā hai

hum ne ghar ki salamti ke liye

KHud ko ghar se nikal rakkha hai

apnī marzī ke sabhī kirdār aazmā le

mire baġhair ab tirī kahānī nahīñ chalegī

tu apni marzi ke sabhi kirdar aazma le

mere baghair ab teri kahani nahin chalegi

  • Share this

zarā der tujhe aa.ina dikhāyā hai

zarā baat par itne ḳhafā nahīñ hote

zara si der tujhe aaina dikhaya hai

zara si baat par itne KHafa nahin hote

  • Share this

lahje aur āvāz meñ rakkhā jaatā hai

ab to zahr alfāz meñ rakkhā jaatā hai

lahje aur aawaz mein rakkha jata hai

ab to zahr alfaz mein rakkha jata hai

hameñ roko nahīñ ham ne bahut se kaam karne haiñ

kisī gul meñ mahaknā hai kisī bādal meñ rahnā hai

hamein roko nahin hum ne bahut se kaam karne hain

kisi gul mein mahakna hai kisi baadal mein rahna hai

  • Share this

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

GET YOUR PASS
Speak Now