Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
noImage

Aziz Ahmad Khan Shafaq

Aziz Ahmad Khan Shafaq

Ghazal 6

Sher-o-Shayari 5

raat ik shaḳhs bahut yaad aayā

jis ghaḌī chāñd numūdār huā

raat ek shaKHs bahut yaad aaya

jis ghaDi chand numudar hua

añdherā itnā hai ab shahr ke muhāfiz ko

har ek raat koī ghar jalānā paḌtā hai

andhera itna hai ab shahr ke muhafiz ko

har ek raat koi ghar jalana paDta hai

shafaq rañg kitne vālehāna-pan se bikhrā hai

zamīñ o āsmāñ ne mil ke unvān-e-sahar likkhā

shafaq ka rang kitne walehana-pan se bikhra hai

zamin o aasman ne mil ke unwan-e-sahar likkha

na jaane kaun apāhij banā rahā hai hameñ

safar meñ tark-e-safar ḳhayāl kyuuñ aayā

na jaane kaun apahij bana raha hai hamein

safar mein tark-e-safar ka KHayal kyun aaya

bahut dinoñ se idhar us ko yaad bhī na kiyā

bahut dinoñ se udhar ḳhayāl kyuuñ aayā

bahut dinon se idhar us ko yaad bhi na kiya

bahut dinon se udhar ka KHayal kyun aaya

BOOKS 1

 

Recitation

Speak Now