Sher of Azizunnisa Naz
kitne lage haiñ zaḳhm jigar par kise ḳhabar
Dhaa.ī hai kis ne kitnī qayāmat na pūchhiye
kitne lage hain zaKHm jigar par kise KHabar
Dhai hai kis ne kitni qayamat na puchhiye
ranj-o-alam kī koī haqīqat na pūchhiye
kitnī hai mere dard kī azmat na pūchhiye
ranj-o-alam ki koi haqiqat na puchhiye
kitni hai mere dard ki azmat na puchhiye
ashkoñ ne raaz dil kā kiyā jab kabhī ayaañ
kitnī huī hai mujh ko nadāmat na pūchhiye
ashkon ne raaz dil ka kiya jab kabhi ayan
kitni hui hai mujh ko nadamat na puchhiye
ab to hai sirf āmad-e-fasl-e-bahār yaad
dil ek phuul thā jo sar-e-shāḳh jal gayā
ab to hai sirf aamad-e-fasl-e-bahaar yaad
dil ek phul tha jo sar-e-shaKH jal gaya
jab dil kā dard manzil-e-shab se nikal gayā
mahsūs ye huā koī tūfān Tal gayā
jab dil ka dard manzil-e-shab se nikal gaya
mahsus ye hua koi tufan Tal gaya
jab tak kisī kā naqsh-e-kaf-e-pā hameñ milā
ham se kuchh aur duur zamāna nikal gayā
jab tak kisi ka naqsh-e-kaf-e-pa hamein mila
hum se kuchh aur dur zamana nikal gaya