Sher of Azmat Abdul Qayyum Khan
manzil pe nazar aa.ī bahut dūrī-e-manzil
be-sāḳhta aane lage sab rāh-numā yaad
manzil pe nazar aai bahut duri-e-manzil
be-saKHta aane lage sab rah-numa yaad
zindagānī kā lutf to 'azmat'
sirf tūfān kī panāh meñ hai
zindagani ka lutf to 'azmat'
sirf tufan ki panah mein hai
ye baat bhī hai ki tū bhī nahīñ hai ab merā
ye baat bhī hai ki tere sivā nahīñ koī
ye baat bhi hai ki tu bhi nahin hai ab mera
ye baat bhi hai ki tere siwa nahin koi
raushniyoñ ke shahar meñ rah kar
ham añdheroñ se rū-shanās rahe
raushniyon ke shahar mein rah kar
hum andheron se ru-shanas rahe
maut pahroñ udaas rahtī hai
ham agar zindagī se milte haiñ
maut pahron udas rahti hai
hum agar zindagi se milte hain
shu.ūr-e-zindagī kī raushnī meñ
shab-e-ġham bhī sahar se kam nahīñ hai
shuur-e-zindagi ki raushni mein
shab-e-gham bhi sahar se kam nahin hai
phuul kis be-dilī se hañste haiñ
aap kis be-dilī se milte haiñ
phul kis be-dili se hanste hain
aap kis be-dili se milte hain
masrūr-o-mutma.in haiñ bahut tājirān-e-vaqt
kyā zindagī ke ḳhvāb bhī nīlām ho ga.e
masrur-o-mutmain hain bahut tajiran-e-waqt
kya zindagi ke KHwab bhi nilam ho gae
ġham-e-imroz kā gila kyoñ ho
husn-e-fardā mirī nigāh meñ hai
gham-e-imroz ka gila kyon ho
husn-e-farda meri nigah mein hai
ab zamāne se aur kyā māñgūñ
daulat-e-ġham bahut ziyāda hai
ab zamane se aur kya mangun
daulat-e-gham bahut ziyaada hai
paas aa.e to kashish hai na jamāl-e-rañgīñ
duur se phuul nazar aa.e the ḳhush-rū kitne
pas aae to kashish hai na jamal-e-rangin
dur se phul nazar aae the KHush-ru kitne
zindagī tīrgī-e-shab hī nahīñ
sub.h kī raushnī bhī hotī hai
zindagi tirgi-e-shab hi nahin
subh ki raushni bhi hoti hai
jo bijliyoñ kī panāhoñ meñ tum banā sakte
to is qadar na tumheñ ḳhauf-e-āshiyāñ hotā
jo bijliyon ki panahon mein tum bana sakte
to is qadar na tumhein KHauf-e-ashiyan hota
kal ye mumkin hai ki lahrā.eñ ḳhushī ke giit bhī
har nazar meñ aaj ik ḳhāmosh sā aalam sahī
kal ye mumkin hai ki lahraen KHushi ke git bhi
har nazar mein aaj ek KHamosh sa aalam sahi
ḳhudā jaane zamāna aaj kis hālat meñ rahtā hai
ki vīrānoñ se baḌh kar hai chaman-zāroñ kī rusvā.ī
KHuda jaane zamana aaj kis haalat mein rahta hai
ki viranon se baDh kar hai chaman-zaron ki ruswai
ābād mai-kade bhī haiñ dair-o-haram bhī nahīñ
lekin na aadmī ko milā koī aadmī
aabaad mai-kade bhi hain dair-o-haram bhi nahin
lekin na aadmi ko mila koi aadmi
tajrabāt-e-ġham se 'azmat' ko milā
ye shu.ūr-e-fan ye andāz-e-ġhazal
tajrabaat-e-gham se 'azmat' ko mila
ye shuur-e-fan ye andaz-e-ghazal