Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Babar Rehman Shah's Photo'

Babar Rehman Shah

1994

Sher of Babar Rehman Shah

thakan se chuur hai saarā vajūd ab merā

maiñ bojh itne ġhamoñ to Dho nahīñ saktā

thakan se chur hai sara wajud ab mera

main bojh itne ghamon ka to Dho nahin sakta

kisī ke jaal meñ aa kar maiñ apnā dil gañvā baiThā

mujhe thā ishq qātil se maiñ apnā sar kaTā baiThā

kisi ke jal mein aa kar main apna dil ganwa baiTha

mujhe tha ishq qatil se main apna sar kaTa baiTha

ai parī-zād tere jaane par

ho gayā ḳhud se rābta merā

ai pari-zad tere jaane par

ho gaya KHud se rabta mera

dil ne ham se ajab kaam liyā

ham ko bechā magar na daam liyā

dil ne hum se ajab hi kaam liya

hum ko becha magar na dam liya

muflisī ne jā-ba-jā luuTā hameñ

ab bachā kuchh bhī nahīñ luTvā.eñ kyā

muflisi ne ja-ba-ja luTa hamein

ab bacha kuchh bhi nahin luTwaen kya

dil se āḳhir charāġh-e-vasl bujhā

kyā tamannā ne intiqām liyā

dil se aaKHir charagh-e-wasl bujha

kya tamanna ne intiqam liya

ātish-e-ishq jab jalātī hai

jal ke maiñ nosh-e-jām kartā huuñ

aatish-e-ishq jab jalati hai

jal ke main nosh-e-jam karta hun

Recitation

Speak Now