Dohe of Badnam Nazar
aañsū se nadī bane nadī samundar jaa.e
parbat kā ronā magar koī dekh na paa.e
aansu se nadi bane nadi samundar jae
parbat ka rona magar koi dekh na pae
khel siyāsat kā billī se ab to sīkhā jaa.e
chūhoñ ke vo parān le par maasī kahlā.e
khel siyasat ka billi se ab to sikha jae
chuhon ke wo paran le par masi kahlae
yā bachche jantī rahe yā saas kī gaalī khaa.e
beTī jab bahū bane ik pal chain na paa.e
ya bachche janti rahe ya sas ki gali khae
beTi jab bahu bane ek pal chain na pae
jannat aur jahannam kā rail khel dikhlā.e
ik Dabbe meñ aag rahe duujā barf jamā.e
jannat aur jahannam ka rail khel dikhlae
ek Dabbe mein aag rahe duja barf jamae
kevaT chappū haath liye achraj meñ paḌ jaa.e
shā.er kāġhaz kī nayyā kaise paar lagā.e
kewaT chappu hath liye achraj mein paD jae
shaer kaghaz ki nayya kaise par lagae