Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
noImage

Baqar Agah Vellori

1745 - 1805 | India

Prominent classical poet of South India

Prominent classical poet of South India

Sher of Baqar Agah Vellori

kyā ḳhuub mere baḳht manDve chaḌhī hai bel

baaġh na bahār na kāñTā phuul huuñ

kya KHub mere baKHt ki manDwe chaDhi hai bel

na bagh na bahaar na kanTa na phul hun

dekhte dekhte sitam terā

saḳht nāshād ho gayā hai dil

dekhte dekhte sitam tera

saKHt nashad ho gaya hai dil

kyā fā.eda hai qissa-e-rizvān se tujhe

koī sham.a-rū parī sate bhī lagan lagā

kya faeda hai qissa-e-rizwan se tujhe

koi shama-ru pari sate tu bhi lagan laga

maiñ tere hijr meñ jiine se ho gayā thā udaas

pe garm-joshī se kyā kyā manāyā ashk mirā

main tere hijr mein jine se ho gaya tha udas

pe garm-joshi se kya kya manaya ashk mera

sar-e-saudā pe tire sher-e-rasā se 'āgāh'

silsila hashr barpā na huā thā so huā

sar-e-sauda pe tere sher-e-rasa se 'agah'

silsila hashr ka barpa na hua tha so hua

Recitation

Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

Register for free
Speak Now