Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
noImage

Bayan Ahsanullah Khan

1727 - 1798 | Delhi, India

Leading classical Urdu poet. Contemporary of Mir Taqi Mir.

Leading classical Urdu poet. Contemporary of Mir Taqi Mir.

Sher of Bayan Ahsanullah Khan

arsh tak jaatī thī ab lab tak bhī aa saktī nahīñ

rahm aa jaatā hai kyuuñ ab mujh ko apnī aah par

it cannot even reach my lips, it used to reach the highest skies

I feel compassion at the sorry condition of my sighs

arsh tak jati thi ab lab tak bhi aa sakti nahin

rahm aa jata hai kyun ab mujh ko apni aah par

it cannot even reach my lips, it used to reach the highest skies

I feel compassion at the sorry condition of my sighs

sīrat ke ham ġhulām haiñ sūrat huī to kyā

surḳh o safed miTTī mūrat huī to kyā

sirat ke hum ghulam hain surat hui to kya

surKH o safed miTTi ki murat hui to kya

koī samjhā.iyo yaaro mirā mahbūb jaatā hai

mirā maqsūd jaatā hai mirā matlūb jaatā hai

koi samjhaiyo yaro mera mahbub jata hai

mera maqsud jata hai mera matlub jata hai

dilbaroñ ke shahr meñ begānagī andher hai

āshnā.ī DhūñDtā phirtā huuñ maiñ le kar diyā

dilbaron ke shahr mein beganagi andher hai

aashnai DhunDta phirta hun main le kar diya

ham sarguzisht kyā kaheñ apnī ki misl-e-ḳhār

pāmāl ho ga.e tire dāman se chhūT kar

hum sarguzisht kya kahen apni ki misl-e-KHar

pamal ho gae tere daman se chhuT kar

Recitation

Speak Now