Sher of Betab Azimabadi
asar na pūchhiye saaqī kī mast āñkhoñ kā
ye dekhiye ki koī hoshyār baaqī hai
asar na puchhiye saqi ki mast aankhon ka
ye dekhiye ki koi hoshyar baqi hai
taḌap ke rah ga.ī bulbul qafas meñ ai sayyād
ye kyā kahā ki abhī tak bahār baaqī hai
taDap ke rah gai bulbul qafas mein ai sayyaad
ye kya kaha ki abhi tak bahaar baqi hai
kitne ilzām āḳhir apne sar
tum ne ġhairoñ ko sar chaḌhā ke liye
kitne ilzam aaKHir apne sar
tum ne ghairon ko sar chaDha ke liye
laḌ ga.ī un se nazar khiñch ga.e abrū un ke
ma.arke ishq ke ab tīr-o-kamāñ tak pahuñche
laD gai un se nazar khinch gae abru un ke
marke ishq ke ab tir-o-kaman tak pahunche
dil jo detā hai zarā soch le anjām ko bhī
un kī āñkhoñ meñ muravvat nahīñ kuchh naam ko bhī
dil jo deta hai zara soch le anjam ko bhi
un ki aankhon mein murawwat nahin kuchh nam ko bhi