Dohe of Bhagwan Das Ejaz
aaj mujhī par khul gayā mere dil kā raaz
aa.ī hai hañste samay rone kī āvāz
aaj mujhi par khul gaya mere dil ka raaz
aai hai hanste samay rone ki aawaz
hogī ik din ghar mire phūloñ kī barsāt
maiñ paglā is aas meñ hañstā huuñ din raat
hogi ek din ghar mere phulon ki barsat
main pagla is aas mein hansta hun din raat
āsmān par chhā ga.ī ghaTā ghūr-ghangor
jaa.eñ to jaa.eñ kahāñ vīrāne meñ shor
aasman par chha gai ghaTa ghur-ghangor
jaen to jaen kahan virane mein shor
ham jag meñ kaise rahe zarā dījiye dhyān
raat guzārī jis tarah dushman-ghar mehmān
hum jag mein kaise rahe zara dijiye dhyan
raat guzari jis tarah dushman-ghar mehman
bhītar kyā kyā ho rahā ai dil kuchh to bol
ek aañkh ro.e bahut ek hañse jī khol
bhitar kya kya ho raha ai dil kuchh to bol
ek aankh roe bahut ek hanse ji khol
duniyā se ojhal rahe liyā labāda oḌh
saare tan par chhā gayā man kā kaalā koḌh
duniya se ojhal rahe liya labaada oDh
sare tan par chha gaya man ka kala koDh
jo dekhā samjhā sunā ġhalat rahā mīzān
aur nikaT aa zindagī ho terī pahchān
jo dekha samjha suna ghalat raha mizan
aur nikaT aa zindagi ho teri pahchan
kahne lage ab aa.iye sar par hai tyauhār
ghar merā nazdīk hai tāroñ ke us paar
kahne lage ab aaiye sar par hai tyauhaar
ghar mera nazdik hai taron ke us par
siine ke bal reñg kar sīmā.eñ kiiñ paar
maiñ baunoñ ke gaañv se guzrā pahlī baar
sine ke bal reng kar simaen kin par
main baunon ke ganw se guzra pahli bar
duniyā thak ga.ī pūchhte rahe sadā ham maun
samjhegā tere sivā man kī bhāshā kaun
duniya thak gai puchhte rahe sada hum maun
samjhega tere siwa man ki bhasha kaun
begānoñ se kyā gila ghar meñ hai ġhaddār
ās-pās rakhiye nazar āñkheñ rakhiye chaar
beganon se kya gila ghar mein hai ghaddar
aas-pas rakhiye nazar aankhen rakhiye chaar
kaThin raah upkār kī itnā rahe ḳhayāl
pagḌī zarā sī bhuul par dete log uchhāl
kaThin rah upkar ki itna rahe KHayal
pagDi zara si bhul par dete log uchhaal
ham ne bhī kuchh soch kar badle tevar taur
vo andar kuchh aur thā uupar se kuchh aur
hum ne bhi kuchh soch kar badle tewar taur
wo andar kuchh aur tha upar se kuchh aur
kahīñ gagan ke paar huuñ kahīñ bech pātāl
mere chāroñ or hai tasvīroñ kā jaal
kahin gagan ke par hun kahin bech patal
mere chaaron or hai taswiron ka jal
ḳhud hī apnī maut kā bāñdhe hai sāmān
anjāne haiñ rāste raahī hai nādān
KHud hi apni maut ka bandhe hai saman
anjaane hain raste rahi hai nadan
raat bitā.eñge vahīñ aa.e the man Thaan
tum kah kar to dekhte ham jhaT jaate maan
raat bitaenge wahin aae the man Than
tum kah kar to dekhte hum jhaT jate man
jal ga.ī apnī aag se jangal kī sab ghaas
dhartī tab dul.han bane jab ho sāvan maas
jal gai apni aag se jangal ki sab ghas
dharti tab dulhan bane jab ho sawan mas
dosh parā.e sar maḌhe bhītar bāhar ro.e
har koī apnī raah meñ aap hī kāñTe bo.e
dosh parae sar maDhe bhitar bahar roe
har koi apni rah mein aap hi kanTe boe
nain chain mausam samāñ sab kuchh letā chhīn
ye ghar apnā hai hameñ hotā nahīñ yaqīn
nain chain mausam saman sab kuchh leta chhin
ye ghar apna hai hamein hota nahin yaqin
kāñdhe laade ghūmte vo apnī hī laash
jo auroñ kī ḳhāmiyāñ karte rahe talāsh
kandhe lade ghumte wo apni hi lash
jo auron ki KHamiyan karte rahe talash
vo chanchal kal shaam ko liye haath meñ haath
lok laaj ko tyaag kar nāchī mere saath
wo chanchal kal sham ko liye hath mein hath
lok laj ko tyag kar nachi mere sath
haañ bha.ī vo bhī thā samay bhole bhāle log
sunte the ki raat meñ chiḌiyā chugtī chog
han bhai wo bhi tha samay bhole bhaale log
sunte the ki raat mein chiDiya chugti chog
Dhig Dhalān rasta vikaT sāvdhān anjān
gaaḌī terī kāñch kī hai lohe kā sāmān
Dhig Dhalan rasta wikaT sawdhan anjaan
gaDi teri kanch ki hai lohe ka saman
man apnā bahrūpiyā dhāre kitne ruup
naTkhaT pahchāne nahīñ chaḌhtī Dhaltī dhuup
man apna bahrupiya dhaare kitne rup
naTkhaT pahchane nahin chaDhti Dhalti dhup
bāteñ hoñgī pyaar kī milā aaj ekānt
nain utāreñ aartī man kā sanshay shānt
baaten hongi pyar ki mila aaj ekant
nain utaren aarti man ka sanshay shant
chiḌ jaa.e jab pūchhtī kaise ho ghanshyām
us ne bhī to rakh liyā miirā merā naam
chiD jae jab puchhti kaise ho ghanshyam
us ne bhi to rakh liya mera mera nam
mahā-nagar meñ aan ke bhūle duā-salām
ham-sāya jaane nahīñ hamsā.e kā naam
maha-nagar mein aan ke bhule dua-salam
ham-saya jaane nahin hamsae ka nam
mar ga.ī maare laaj ke pūchhā toḌā maun
chūhoñ ko bil khodnā sikhlātā hai kaun
mar gai mare laj ke puchha toDa maun
chuhon ko bil khodna sikhlata hai kaun
pyāse hoñToñ ko milī ThanDī havā se aañch
do jismoñ kī aañch se lagā pighalne kāñch
pyase honTon ko mili ThanDi hawa se aanch
do jismon ki aanch se laga pighalne kanch
maalā japtā naam kī vo dīvāna shaam
achchhā lage pukārtā miirā miirā naam
mala japta nam ki wo diwana sham
achchha lage pukarta mera mera nam
so jā sone de mujhe mat kar niiñd ḳharāb
daane apnī gāñTh ke binā bhuuk mat chaab
so ja sone de mujhe mat kar nind KHarab
dane apni ganTh ke bina bhuk mat chab
kahīñ tujhe lag jaa.e na pardesan kī haa.e
aa sājan ab lauT ke sāvan biitā jaa.e
kahin tujhe lag jae na pardesan ki hae
aa sajan ab lauT ke sawan bita jae
aksmāt hone lagī phūloñ kī barsāt
jab sīmā.eñ pyaar kī TūTeñ aadhī raat
aksmat hone lagi phulon ki barsat
jab simaen pyar ki TuTen aadhi raat
ham is ghar meñ haiñ ghire jis ke aañkh na kaan
nikal bhāgnā bhī kaThin dāñtoñ biich zabān
hum is ghar mein hain ghire jis ke aankh na kan
nikal bhagna bhi kaThin danton bich zaban
lobh bane ehsān ko turat utārā jaa.e
qarzā.ī ho jaa.e muñh khaa.e aañkh sharmā.e
lobh bane ehsan ko turat utara jae
qarzai ho jae munh khae aankh sharmae
mujhe thamā kar jhunjhunā log le ga.e maal
bhal-mansā.ī meñ rahe ham Than-Than gopāl
mujhe thama kar jhunjhuna log le gae mal
bhal-mansai mein rahe hum Than-Than gopal
jogī aaya dvaar par ḳhālī lauTā kaal
rogī maaTī chaaT kar uTh baiThā tatkāl
jogi aaya dwar par KHali lauTa kal
rogi maTi chaT kar uTh baiTha tatkal
nākoñ chabvā.e chane ham ne kitnī baar
ham-sāya be-sharm hai jab dekho tayyār
nakon chabwae chane hum ne kitni bar
ham-saya be-sharm hai jab dekho tayyar
jhoñkī totā-chashm ne mirī aañkh meñ dhuul
band lifāfe meñ mujhe us ne bheje shuul
jhonki tota-chashm ne meri aankh mein dhul
band lifafe mein mujhe us ne bheje shul
aage vo kitnā chale pīchhe bhī haiñ paañv
chaar Taañg kā aadmī duur dauḌtī chhāñv
aage wo kitna chale pichhe bhi hain panw
chaar Tang ka aadmi dur dauDti chhanw
tū merī ardhāñginī lī maiñ ne saugandh
aañsū Tapke pyaar ke kar lī āñkheñ band
tu meri ardhangini li main ne saugandh
aansu Tapke pyar ke kar li aankhen band
sakhī bahut ole paḌe barkhā ke uprānt
huī na kam birhā agan tan-man aur ashānt
sakhi bahut ole paDe barkha ke uprant
hui na kam birha agan tan-man aur ashant
shahnā.ī kī jab kahīñ kaan paḌe āvāz
jal bin machhlī kī tarah taḌap uThe 'ejāz'
shahnai ki jab kahin kan paDe aawaz
jal bin machhli ki tarah taDap uThe 'ejaz'
uupar jā kar kaT gayā maiñ patang mānind
utrā jaise aañkh meñ koī motiyābind
upar ja kar kaT gaya main patang manind
utra jaise aankh mein koi motiyabind
lagī aatmā kosne Dasne lagā ḳhayāl
kyoñ duuje ke dosh ko itnā diyā uchhāl
lagi aatma kosne Dasne laga KHayal
kyon duje ke dosh ko itna diya uchhaal
kaan pakaḌ tauba kiye aisī bakrī paal
duudh diyā so kyā diyā diyā meñgnī Daal
kan pakaD tauba kiye aisi bakri pal
dudh diya so kya diya diya meingni Dal
daġhābāz makkār ke aur dekh andāz
haañ rassī to jal ga.ī ga.e na bal 'ejāz'
daghabaz makkar ke aur dekh andaz
han rassi to jal gai gae na bal 'ejaz'
abhī milan ko sājnā din nā biite chaar
siine par rakh kar shilā do din aur guzār
abhi milan ko sajna din na bite chaar
sine par rakh kar shila do din aur guzar
tham jā re badrā karūñ terī jai-jai-kār
pī ghar aaveñ to baras baras mūslā-dhār
tham ja re badra karun teri jai-jai-kar
pi ghar aawen to baras baras musla-dhaar
jugnū chamke aas ke ujlī ho ga.ī shaam
panchhī un ke gaañv se laayā hai paiġhām
jugnu chamke aas ke ujli ho gai sham
panchhi un ke ganw se laya hai paigham