Sher of Bilqees Khan
mirī kalā.ī pe bāñdhī ghaḌī meñ Thahrā hai
vo ek pal jo zamānoñ meñ bhī samāyā nahīñ
meri kalai pe bandhi ghaDi mein Thahra hai
wo ek pal jo zamanon mein bhi samaya nahin
samajh rahī huuñ tū rasta badalnā chāhtā hai
maiñ tere lahje kī saarī jihāt dekhtī huuñ
samajh rahi hun tu rasta badalna chahta hai
main tere lahje ki sari jihat dekhti hun
usī kī taal meñ gum hai sadī kā sannāTā
vo ek giit abhī tak jo gungunāyā nahīñ
usi ki tal mein gum hai sadi ka sannaTa
wo ek git abhi tak jo gungunaya nahin
mere pairoñ ko Dasne vaalā saañp
merī gardan meñ kyoñ hamā.il hai
mere pairon ko Dasne wala sanp
meri gardan mein kyon hamail hai