Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Bushra Ejaz's Photo'

Bushra Ejaz

Sher of Bushra Ejaz

mirī apnī aur us aarzū meñ farq ye thā

mujhe bas vo use saarā zamāna chāhiye thā

meri apni aur us ki aarzu mein farq ye tha

mujhe bas wo use sara zamana chahiye tha

shab bhī hai vahī ham bhī vahī tum bhī vahī ho

hai ab ke magar apnī sazā aur tarah

shab bhi hai wahi hum bhi wahi tum bhi wahi ho

hai ab ke magar apni saza aur tarah ki

apne saare rāste andar jānib moḌ kar

manziloñ ik nishāñ bāhar banānā chāhiye

apne sare raste andar ki jaanib moD kar

manzilon ka ek nishan bahar banana chahiye

jab raakh se uTThegā kabhī ishq sho.ala

phir pā.egī ye ḳhaak shifā aur tarah

jab rakh se uTThega kabhi ishq ka shoala

phir paegi ye KHak shifa aur tarah ki

mire nukta-dāñ tirā fahm apnī misāl hai

maiñ huuñ ek saada savāl koī javāb de

mere nukta-dan tera fahm apni misal hai

main hun ek sada sawal koi jawab de

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

Get Tickets
Speak Now