Sher of Chandrakant Rawat
mohabbat chāhiye to kar mohabbat
mohabbat dar mohabbat dar mohabbat
mohabbat chahiye to kar mohabbat
mohabbat dar mohabbat dar mohabbat
musībat sar pe muñh baa.e khaḌī hai
tujhe ai dil mohabbat kī paḌī hai
musibat sar pe munh bae khaDi hai
tujhe ai dil mohabbat ki paDi hai
ai mire dost ek muddat se
chāñd dekhā nahīñ terī chhat se
ai mere dost ek muddat se
chand dekha nahin teri chhat se
tire visāl meñ shāmil tirī judā.ī hai
ki terī qaid meñ hī gum mirī rihā.ī hai
tere visal mein shamil teri judai hai
ki teri qaid mein hi gum meri rihai hai
tar-ba-tar ho kar raheñ tā-zindagī
ai ghaTā ik roz ham par yuuñ baras
tar-ba-tar ho kar rahen ta-zindagi
ai ghaTa ek roz hum par yun baras
apnī samjhe the magar niklī parā.ī zindagī
jaane kis miTTī kī thī qaabū na aa.ī zindagī
apni samjhe the magar nikli parai zindagi
jaane kis miTTi ki thi qabu na aai zindagi
vo zulfeñ vo nazreñ vo jumbish laboñ kī
vo sab un ke hathiyār kaam aa rahe haiñ
wo zulfen wo nazren wo jumbish labon ki
wo sab un ke hathiyar kaam aa rahe hain
vo adhūrā hī ḳhvāb thā lekin
thā adhūrā bhī shāndār bahut
wo adhura hi KHwab tha lekin
tha adhura bhi shandar bahut
kahāñ vo sharābeñ kahāñ vo nasha hai
tire naam se mai-kada chal rahā hai
kahan wo sharaben kahan wo nasha hai
tere nam se mai-kada chal raha hai
zindagī kī jang laḌne ke liye
pyaar sab se kārgar hathiyār hai
zindagi ki jang laDne ke liye
pyar sab se kargar hathiyar hai
ek daftar ek ghar aur ek dil
kitnī jānib mujh ko khīñchā jā.egā
ek daftar ek ghar aur ek dil
kitni jaanib mujh ko khincha jaega
kaam ko īmān se anjām detā chal bashar
jaane kis sūrat meñ terā mehnatāna aa.egā
kaam ko iman se anjam deta chal bashar
jaane kis surat mein tera mehnatana aaega
pyaar se sarshār karnā pyaar se chhūnā mujhe
chāk-dil insān Thahrā TuuTe pyāle kī tarah
pyar se sarshaar karna pyar se chhuna mujhe
chaak-dil insan Thahra TuTe pyale ki tarah
'umr bhar kī mushkiloñ ke darmiyāñ
tū dhaḌaktā hī rahā shābāsh dil
'umr bhar ki mushkilon ke darmiyan
tu dhaDakta hi raha shabash dil
jhūTī mahfil hai jhūTī tanhā.ī
ik tire 'ishq kā bharam sachchā
jhuTi mahfil hai jhuTi tanhai
ek tere 'ishq ka bharam sachcha
 
                         
 