Sher of Chandu Lal Bahadur Shadan
aatā nahīñ jo sāmne maare hijāb ke
ham dil se haiñ nisār usī āftāb ke
aata nahin jo samne mare hijab ke
hum dil se hain nisar usi aaftab ke
bharosa hai tirā hī aur hai tere sivā kis kā
na deve aasrā jab tū mujhe ho aasrā kis kā
bharosa hai tera hi aur hai tere siwa kis ka
na dewe aasra jab tu mujhe ho aasra kis ka
nekī kā koī kaam hī aayā nahīñ mujh se
kyā hovegā anjām mirā kuchh nahīñ ma.alūm
neki ka koi kaam hi aaya nahin mujh se
kya howega anjam mera kuchh nahin malum
hairāñ thā ki dil merā kahāñ jā ke chhupā hai
jugnū kī tarah yaar kī dastār meñ chamkā
hairan tha ki dil mera kahan ja ke chhupa hai
jugnu ki tarah yar ki dastar mein chamka
nuur thā yā sho.ala thā yā barq yā ḳhurshīd thā
kuchh to ai muusā kaho kyā thā vo jalva tuur kā
nur tha ya shoala tha ya barq ya KHurshid tha
kuchh to ai musa kaho kya tha wo jalwa tur ka
jab ġhunche ne sar apnā garebāñ se nikālā
bulbul ne qadam phir na gulistāñ se nikālā
jab ghunche ne sar apna gareban se nikala
bulbul ne qadam phir na gulistan se nikala
jalva-gar thā har jagah kā'ba thā yā but-ḳhāna thā
ghar hazāroñ the magar vo ek sāhab-ḳhāna thā
jalwa-gar tha har jagah ka'ba tha ya but-KHana tha
ghar hazaron the magar wo ek sahab-KHana tha