Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Dil Shahjahanpuri's Photo'

Dil Shahjahanpuri

1875 - 1959 | Shahjahanpur, India

A poet of repute, disciple of Ameer Meenai; also wrote a novel called Dard-e-Dil

A poet of repute, disciple of Ameer Meenai; also wrote a novel called Dard-e-Dil

Sher of Dil Shahjahanpuri

1.8K
Favorite

SORT BY

āġhāz-e-mohabbat se anjām-e-mohabbat tak

guzrā hai jo kuchh ham par tum ne bhī sunā hogā

aaghaz-e-mohabbat se anjam-e-mohabbat tak

guzra hai jo kuchh hum par tum ne bhi suna hoga

ye bhīgī raat ye ThanDā samāñ ye kaif-e-bahār

ye koī vaqt hai pahlū se uTh ke jaane

ye bhigi raat ye ThanDa saman ye kaif-e-bahaar

ye koi waqt hai pahlu se uTh ke jaane ka

vaqt-e-ruḳhsat tasalliyāñ de kar

aur bhī tum ne be-qarār kiyā

waqt-e-ruKHsat tasalliyan de kar

aur bhi tum ne be-qarar kiya

ham ko bechain kiye jaate haiñ

haa.e kyā shai vo liye jaate haiñ

hum ko bechain kiye jate hain

hae kya shai wo liye jate hain

aarzū lutf talab ishq sarāsar nākām

mubtalā zindagi-e-dil inhīñ auhām meñ hai

aarzu lutf talab ishq sarasar nakaam

mubtala zindagi-e-dil inhin auham mein hai

maiñ ġharq ho rahā thā ki tūfān-e-ishq ne

ik mauj-e-be-qarār ko sāhil banā diyā

main gharq ho raha tha ki tufan-e-ishq ne

ek mauj-e-be-qarar ko sahil bana diya

shabāb Dhalte aa.ī piirī ma.aal par ab nazar huī hai

baḌī ġhaflat meñ shab guzārī kahāñ pahuñch kar sahar huī hai

shabab Dhalte hi aai piri maal par ab nazar hui hai

baDi hi ghaflat mein shab guzari kahan pahunch kar sahar hui hai

mai-e-kausar asar chashm-e-siyah-fām meñ hai

sāqī-e-mast ajab kaif tire jaam meñ hai

mai-e-kausar ka asar chashm-e-siyah-fam mein hai

saqi-e-mast ajab kaif tere jam mein hai

kyā jaane kis ḳhayāl se chhoḌā pa hāl-e-zār

mujh par baḌā karam hai mire chārasāz

kya jaane kis KHayal se chhoDa pa haal-e-zar

mujh par baDa karam hai mere chaarasaz ka

husn-e-ḳhud-bīñ ko huā aur sivā nāz-e-hijāb

shauq jab had se baḌhā chashm-e-tamāshā.ī

husn-e-KHud-bin ko hua aur siwa naz-e-hijab

shauq jab had se baDha chashm-e-tamashai ka

asar-e-ishq se huuñ sūrat-e-sham.a ḳhāmosh

ye muraqqa.a hai mirī hasrat-e-goyā.ī

asar-e-ishq se hun surat-e-shama KHamosh

ye muraqqa hai meri hasrat-e-goyai ka

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

GET YOUR PASS
Speak Now