Sher of Dilawar Figar
aurat ko chāhiye ki adālat kā ruḳh kare
jab aadmī ko sirf ḳhudā kā ḳhayāl ho
aurat ko chahiye ki adalat ka ruKH kare
jab aadmi ko sirf KHuda ka KHayal ho
vahāñ jo log anāḌī haiñ vaqt kāTte haiñ
yahāñ bhī kuchh mutashā.er dimāġh chāTte haiñ
wahan jo log anaDi hain waqt kaTte hain
yahan bhi kuchh mutashaer dimagh chaTte hain
aa ke bazm-e-sher meñ shart-e-vafā puurī to kar
jitnā khānā khā gayā hai utnī mazdūrī to kar
aa ke bazm-e-sher mein shart-e-wafa puri to kar
jitna khana kha gaya hai utni mazduri to kar
juute ke intiḳhāb ko masjid meñ jab ga.e
vo jūtiyāñ paḌīñ ki ḳhudā yaad aa gayā
jute ke intiKHab ko masjid mein jab gae
wo jutiyan paDin ki KHuda yaad aa gaya
pūchhī jo us kī vaj.h to kahne lage janāb
sardī bahut shadīd thī misra sikuḌ gayā
puchhi jo us ki wajh to kahne lage janab
sardi bahut shadid thi misra sikuD gaya
murdamāñ bisyār hoñge aur jā-e-qabr tañg
qabr kī taqsīm par murdoñ meñ chhiḌ jā.egī jañg
murdaman bisyar honge aur ja-e-qabr tang
qabr ki taqsim par murdon mein chhiD jaegi jang
ek rivāyat ye bhī hai vo byaah ke qābil na thā
varna lailā ko bhagā lenā koī mushkil na thā
ek riwayat ye bhi hai wo byah ke qabil na tha
warna laila ko bhaga lena koi mushkil na tha
pakḌī ga.ī radīf to fauran ye kah diyā
likhnā kabhī thā aur maiñ yahāñ likh gayā abhī
pakDi gai radif to fauran ye kah diya
likhna kabhi tha aur main yahan likh gaya abhi
hamārā dost tufailī bhī hai baḌā shā.er
agarche ek baḌe aadmī kā chamcha hai
hamara dost tufaili bhi hai baDa shaer
agarche ek baDe aadmi ka chamcha hai
pāyān-e-kār ḳhatm huā jab ye tajziya
maiñ ne kahā huzūr to bole ki shukriya
payan-e-kar KHatm hua jab ye tajziya
main ne kaha huzur to bole ki shukriya
siyāh zulf ko jo ban-sañvar ke dekhte haiñ
safed baal kahāñ apne sar ke dekhte haiñ
siyah zulf ko jo ban-sanwar ke dekhte hain
safed baal kahan apne sar ke dekhte hain
kahīñ golī likhā hai aur kahīñ maar
ye golīmār likkhā jā rahā hai
kahin goli likha hai aur kahin mar
ye golimar likkha ja raha hai
ġhazal churā ke kabhī ḳhidmat-e-adab kar lī
pakaḌ ga.e to vahīñ ma.azarat talab kar lī
ghazal chura ke kabhi KHidmat-e-adab kar li
pakaD gae to wahin mazarat talab kar li
sunā ye hai ki vo suufī bhī thā valī bhī thā
ab is ke baa'd to paiġhambarī kā darja hai
suna ye hai ki wo sufi bhi tha wali bhi tha
ab is ke ba'd to paighambari ka darja hai
ek shādī to Thiik hai lekin
ek do tiin chaar had kar dī
ek shadi to Thik hai lekin
ek do tin chaar had kar di
ik rivāyat ye bhī hai lailā kī maañ thī bad-chalan
vo to banñā chāhtī thī ḳhud hī majnūñ kī dulhan
ek riwayat ye bhi hai laila ki man thi bad-chalan
wo to banna chahti thi KHud hi majnun ki dulhan
iġhvā hī karnā thā to koī kam the lakh-pati
kis ne kahā thā road se kañglā uThā.iye
ighwa hi karna tha to koi kam the lakh-pati
kis ne kaha tha road se kangla uThaiye
ḳhush-qismatī se ham haiñ savār us jahāz par
sāhil pe jis jahāz kā kaptān rah gayā
KHush-qismati se hum hain sawar us jahaz par
sahil pe jis jahaz ka kaptan rah gaya
is kā kyā hogā ye jo unvān aadhā rah gayā
ye bhī lete jaa.eñ jo sāmān aadhā rah gayā
is ka kya hoga ye jo unwan aadha rah gaya
ye bhi lete jaen jo saman aadha rah gaya
sochā thā aadmī kā qasīda likheñge ham
matlā kahā hī thā ki gadhā yaad aa gayā
socha tha aadmi ka qasida likhenge hum
matla kaha hi tha ki gadha yaad aa gaya
maiñ bhī thā hāzir bazm meñ jab tū ne dekhā hī nahīñ
maiñ bhī uThā kar chal diyā bilkul nayā juutā tirā
main bhi tha hazir bazm mein jab tu ne dekha hi nahin
main bhi uTha kar chal diya bilkul naya juta tera
ek achchhā-ḳhāsā mard zanāne meñ ghus paḌā
goyā ki ek chor ḳhazāne meñ ghus paḌā
ek achchha-KHasa mard zanane mein ghus paDa
goya ki ek chor KHazane mein ghus paDa
kal chaudhvīñ kī raat thī ābād thā kamrā tirā
hotī rahī dhin-tāk-dhin bajtā rahā tabla tirā
kal chaudhwin ki raat thi aabaad tha kamra tera
hoti rahi dhin-tak-dhin bajta raha tabla tera
yuuñ bhī ik daftar ne mujh pe ḳhauf taarī kar diyā
bil raqīboñ kā thā mere naam jaarī kar diyā
yun bhi ek daftar ne mujh pe KHauf tari kar diya
bil raqibon ka tha mere nam jari kar diya
ġhazal kī shakl badal dī hai operation se
suḳhan-varī hai agar ye to surgery kyā hai
ghazal ki shakl badal di hai operation se
suKHan-wari hai agar ye to surgery kya hai
bas meñ baiThī hai mire paas jo ik zohra-jabīñ
mard niklegī agar zulf muñDā dī jaa.e
bas mein baiThi hai mere pas jo ek zohra-jabin
mard niklegi agar zulf munDa di jae
is ko kahte haiñ ḳhudā kī den ye hotī hai den
ab civil-surgeon banegā jānashīn-e-tān-sen
is ko kahte hain KHuda ki den ye hoti hai den
ab ciwil-surgeon banega jaanashin-e-tan-sen
maut bhī us shaḳhs tak aate hue ghabrā.egī
jis ke sar par naza.a meñ Daflī bajā.ī jā.egī
maut bhi us shaKHs tak aate hue ghabraegi
jis ke sar par naza mein Dafli bajai jaegi
ye list choroñ kī vaqtī o ittifāqī hai
varaq tamām huā aur mad.h baaqī hai
ye list choron ki waqti o ittifaqi hai
waraq tamam hua aur madh baqi hai
ek shauhar ek begam ek bhāvaj ek nand
be-takalluf ek hī kholī meñ ho jaate haiñ band
ek shauhar ek begam ek bhawaj ek nand
be-takalluf ek hi kholi mein ho jate hain band
iḳhtilāj-e-qalb kī vāhid davā hai aaj kal
'bekal-utsāhī' se suniye ai mirī jān-e-ġhazal
iKHtilaj-e-qalb ki wahid dawa hai aaj kal
'bekal-utsahi' se suniye ai meri jaan-e-ghazal
sirf zindoñ hī ko fikr-e-aish-o-āsā.ish nahīñ
ab to is duniyā meñ murdoñ kī bhī gunjā.ish nahīñ
sirf zindon hi ko fikr-e-aish-o-asaish nahin
ab to is duniya mein murdon ki bhi gunjaish nahin
ghar kī tahzīb aur hai daftar kā culture aur hai
ghar ke andar aur haiñ ham ghar ke bāhar aur ham
ghar ki tahzib aur hai daftar ka culture aur hai
ghar ke andar aur hain hum ghar ke bahar aur hum
maiñ ne kahā kalām-e-'ravish' lā-javāb hai
kahne lage ki un kā tarannum ḳharāb hai
main ne kaha kalam-e-'rawish' la-jawab hai
kahne lage ki un ka tarannum KHarab hai
is liye ham ne banāyā hai ye manifesto
''man tirā ahmaq bagoyam tū murā ahmaq bago''
is liye hum ne banaya hai ye manifesto
man tera ahmaq bagoyam tu mura ahmaq bago
Thele par dīvān laayā hai ye shaḳhs is se milo
is kī ġhazloñ kā nayā majmūa do ruupe kilo
Thele par diwan laya hai ye shaKHs is se milo
is ki ghazlon ka naya majmua do rupe kilo
ye idāre bhī na hoñge jab to hai is kā bhī Dar
chaltī-phirtī shā.erī hogī yahāñ har road par
ye idare bhi na honge jab to hai is ka bhi Dar
chalti-phirti shaeri hogi yahan har road par
vasl kī raat jo mahbūb kahe good night
qā.eda ye hai ki english meñ duā dī jaa.e
wasl ki raat jo mahbub kahe good night
qaeda ye hai ki english mein dua di jae
har baat par jo kahtā rahā maiñ bajā bajā
us ne kahā ki yuuñ hī musalsal bajā karo
har baat par jo kahta raha main baja baja
us ne kaha ki yun hi musalsal baja karo
qabz ke maare hue bīmār ko kar do ḳhabar
ek Thumrī meñ hai itrifal zamānī kā asar
qabz ke mare hue bimar ko kar do KHabar
ek Thumri mein hai itrifal zamani ka asar
aap ko marnā hai to pahle se notice dījiye
yā'nī jurm-e-intiqāl-e-nā-gahāñ mat kījiye
aap ko marna hai to pahle se notice dijiye
ya'ni jurm-e-intiqal-e-na-gahan mat kijiye
tumhāre ghar meñ maiñ kuudā zarūr huuñ lekin
visāl-osāl kī niyyat se maiñ nahīñ aayā
tumhaare ghar mein main kuda zarur hun lekin
visal-osal ki niyyat se main nahin aaya
kitne ġhālib the jo paidā hue aur mar bhī ga.e
qadr-dānoñ ko taḳhallus kī ḳhabar hone tak
kitne ghaalib the jo paida hue aur mar bhi gae
qadr-danon ko taKHallus ki KHabar hone tak
junūñ ye aur baḌhegā to rang lā.egā
ye aadmī kabhī kutte ko kaaT khā.egā
junun ye aur baDhega to rang laega
ye aadmi kabhi kutte ko kaT khaega
na koī dost na hamdam na āshnā na habīb
usī se ḳhauf ziyāda jo hai ziyāda qarīb
na koi dost na hamdam na aashna na habib
usi se KHauf ziyaada jo hai ziyaada qarib
shā.er the band ek cinema ke haal meñ
panchhī phañse hue the shikārī ke jaal meñ
shaer the band ek cinema ke haal mein
panchhi phanse hue the shikari ke jal mein
kyā batā.ūñ meñ tumheñ is shahr kā juġhrāfiya
bamba.ī hai ik ġhazal gaḌ-baḌ hai jis kā qāfiya
kya bataun mein tumhein is shahr ka jughrafiya
bambai hai ek ghazal gaD-baD hai jis ka qafiya
ḳhudī buland ho be-shak yahī thī merī raa.e
ye kab kahā thā ki qavvāl is meñ haath lagā.e
KHudi buland ho be-shak yahi thi meri rae
ye kab kaha tha ki qawwal is mein hath lagae
afsos ki ik shaḳhs ko dil dene se pahle
maTke kī tarah Thoñk bajā kar nahīñ dekhā
afsos ki ek shaKHs ko dil dene se pahle
maTke ki tarah Thonk baja kar nahin dekha
jaañ dene ko pahuñche the sabhī terī galī meñ
bhāge to kisī ne bhī palaT kar nahīñ dekhā
jaan dene ko pahunche the sabhi teri gali mein
bhage to kisi ne bhi palaT kar nahin dekha