Sher on Mizah
Apparently, humorous
poetry is there to make you laugh but it has many dimensions that we generally do not know about. Reform is a hidden agenda of humorous poetry and the poet indulges into reformative act by choosing to satirize the subject. We have a small selection for you here.
akbar dabe nahīñ kisī sultāñ kī fauj se
lekin shahīd ho ga.e biivī kī nauj se
akbar dabe nahin kisi sultan ki fauj se
lekin shahid ho gae biwi ki nauj se
lipaT bhī jā na ruk 'akbar' ġhazab kī beauty hai
nahīñ nahīñ pe na jā ye hayā kī duty hai
lipaT bhi ja na ruk 'akbar' ghazab ki beauty hai
nahin nahin pe na ja ye haya ki duty hai
ġhazab hai vo ziddī baḌe ho ga.e
maiñ leTā to uTh ke khaḌe ho ga.e
ghazab hai wo ziddi baDe ho gae
main leTa to uTh ke khaDe ho gae
haqīqī aur majāzī shā.erī meñ farq ye paayā
ki vo jaame se bāhar hai ye pājāme se bāhar hai
haqiqi aur majazi shaeri mein farq ye paya
ki wo jame se bahar hai ye pajame se bahar hai
is qadar thā khaTmaloñ kā chārpā.ī meñ hujūm
vasl kā dil se mire armān ruḳhsat ho gayā
is qadar tha khaTmalon ka chaarpai mein hujum
wasl ka dil se mere arman ruKHsat ho gaya
dhamkā ke bose lūñgā ruḳh-e-rashk-e-māh kā
chandā vasūl hotā hai sāhab dabāv se
dhamka ke bose lunga ruKH-e-rashk-e-mah ka
chanda wasul hota hai sahab dabaw se
jab ġham huā chaḌhā liiñ do botaleñ ikaTThī
mullā kī dauḌ masjid 'akbar' kī dauḌ bhaTTī
jab gham hua chaDha lin do botalen ikaTThi
mulla ki dauD masjid 'akbar' ki dauD bhaTTi
ham ne kitne dhoke meñ sab jīvan kī barbādī kī
gaal pe ik til dekh ke un ke saare jism se shādī kī
hum ne kitne dhoke mein sab jiwan ki barbaadi ki
gal pe ek til dekh ke un ke sare jism se shadi ki
jab bhī vālid kī jafā yaad aa.ī
apne daadā kī ḳhatā yaad aa.ī
jab bhi walid ki jafa yaad aai
apne dada ki KHata yaad aai
-
Tags : Fatherand 1 more
aam terī ye ḳhush-nasībī hai
varna langḌoñ pe kaun martā hai
aam teri ye KHush-nasibi hai
warna langDon pe kaun marta hai
urdu se ho kyuuñ bezār english se kyuuñ itnā pyaar
chhoḌo bhī ye raTTā yaar twinkle twinkle little star
urdu se ho kyun bezar english se kyun itna pyar
chhoDo bhi ye raTTa yar twinkle twinkle little star
ta.alluq āshiq o māshūq kā to lutf rakhtā thā
maze ab vo kahāñ baaqī rahe biivī miyāñ ho kar
talluq aashiq o mashuq ka to lutf rakhta tha
maze ab wo kahan baqi rahe biwi miyan ho kar
sirf mehnat kyā hai 'anvar' kāmyābī ke liye
koī uupar se bhī telephone honā chāhiye
sirf mehnat kya hai 'anwar' kaamyabi ke liye
koi upar se bhi telephone hona chahiye
hai kāmyābī-e-mardāñ meñ haath aurat kā
magar tū ek hī aurat pe inhisār na kar
hai kaamyabi-e-mardan mein hath aurat ka
magar tu ek hi aurat pe inhisar na kar
begam bhī haiñ khaḌī huī maidān-e-hashr meñ
mujh se mire gunah kā hisāb ai ḳhudā na maañg
begam bhi hain khaDi hui maidan-e-hashr mein
mujh se mere gunah ka hisab ai KHuda na mang
us kī beTī ne uThā rakkhī hai duniyā sar par
ḳhairiyat guzrī ki añgūr ke beTā na huā
us ki beTi ne uTha rakkhi hai duniya sar par
KHairiyat guzri ki angur ke beTa na hua
har mulk is ke aage jhuktā hai ehtirāman
har mulk kā hai father hindostāñ hamārā
har mulk is ke aage jhukta hai ehtiraman
har mulk ka hai father hindostan hamara
butoñ ke pahle bande the misoñ ke ab hue ḳhādim
hameñ har ahd meñ mushkil rahā hai bā-ḳhudā honā
buton ke pahle bande the mison ke ab hue KHadim
hamein har ahd mein mushkil raha hai ba-KHuda hona
laundry kholī thī us ke ishq meñ
par vo kapḌe ham se dhulvātā nahīñ
laundry kholi thi us ke ishq mein
par wo kapDe hum se dhulwata nahin
hoñT kī shīrīniyāñ college meñ jab baTne lagīñ
chaar din ke chhokre karne lage farhādiyāñ
honT ki shiriniyan college mein jab baTne lagin
chaar din ke chhokre karne lage farhadiyan
kyā pūchhte ho 'akbar'-e-shorīda-sar kā haal
ḳhufiya police se pūchh rahā hai kamar kā haal
kya puchhte ho 'akbar'-e-shorida-sar ka haal
KHufiya police se puchh raha hai kamar ka haal
do sagī bahnoñ kī do gañjoñ se shādī ho ga.ī
aur ye be-zulf bhī ham-zulf kahlāne lage
do sagi bahnon ki do ganjon se shadi ho gai
aur ye be-zulf bhi ham-zulf kahlane lage