Sher of Dulhan Begum
din kaTā fariyād se aur raat zaarī se kaTī
umr kaTne ko kaTī par kitnī ḳhvārī se kaTī
din kaTa fariyaad se aur raat zari se kaTi
umr kaTne ko kaTi par kitni KHwari se kaTi
bahā hai phuuT ke āñkhoñ se aabla dil kā
tarī kī raah se jaatā hai qāfila dil kā
baha hai phuT ke aankhon se aabla dil ka
tari ki rah se jata hai qafila dil ka
mat karo fikr imārat kī koī zer-e-falak
ḳhāna-e-dil jo girā hai use ta.amīr karo
mat karo fikr imarat ki koi zer-e-falak
KHana-e-dil jo gira hai use tamir karo
itne kam-zarf nahīñ ham jo bahakte jāveñ
misl-e-gul jāveñ jidhar jāveñ mahakte jāveñ
itne kam-zarf nahin hum jo bahakte jawen
misl-e-gul jawen jidhar jawen mahakte jawen
bayāñ maiñ kis se karūñ jā ke ab gila dil kā
ye dil kā dil hī meñ hovegā faisla dil kā
bayan main kis se karun ja ke ab gila dil ka
ye dil ka dil hi mein howega faisla dil ka
jā phañsā dil zulf meñ ab soiye
shaam ke murde ko kab tak Dhoiye
ja phansa dil zulf mein ab soiye
sham ke murde ko kab tak Dhoiye