Sher of Ehsanul Haq Mazhar
tum ādatan kahoge use yaar ma.azarat
lekin ye e'tirāf ke zumre meñ aa.egā
tum aadatan kahoge use yar mazarat
lekin ye e'tiraf ke zumre mein aaega
rāste aur bhī jaate haiñ udhar ko lekin
vo mire dil se guzartā huā ghar jaatā hai
raste aur bhi jate hain udhar ko lekin
wo mere dil se guzarta hua ghar jata hai
zindagī us kī amānat thī vagarna 'maz.har'
ham ise apne tasarruf meñ bhī lā sakte the
zindagi us ki amanat thi wagarna 'mazhar'
hum ise apne tasarruf mein bhi la sakte the
is mohabbat se mirī samt koī dekhtā hai
ruk bhī jaatā huuñ kabhī dasht ko jaatā huā maiñ
is mohabbat se meri samt koi dekhta hai
ruk bhi jata hun kabhi dasht ko jata hua main
fī-zamāna ye muravvat bhī bahut hai 'maz.har'
un ko jaanā thā magar dost bahāne se ga.e
fi-zamana ye murawwat bhi bahut hai 'mazhar'
un ko jaana tha magar dost bahane se gae