Sher of Ehtisham Akhtar
shahr ke añdhere ko ik charāġh kaafī hai
sau charāġh jalte haiñ ik charāġh jalne se
shahr ke andhere ko ek charagh kafi hai
sau charagh jalte hain ek charagh jalne se
mire aziiz hī mujh ko samajh na paa.e kabhī
maiñ apnā haal kisī ajnabī se kyā kahtā
mere aziz hi mujh ko samajh na pae kabhi
main apna haal kisi ajnabi se kya kahta
soch un kī kaisī hai kaise haiñ ye dīvāne
ik makāñ kī ḳhātir jo sau makāñ jalāte haiñ
soch un ki kaisi hai kaise hain ye diwane
ek makan ki KHatir jo sau makan jalate hain
tum jalānā mujhe chāho to jalā do lekin
naḳhl-e-tāza jo jalegā to dhuāñ bhī degā
tum jalana mujhe chaho to jala do lekin
naKHl-e-taza jo jalega to dhuan bhi dega
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download