aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
1982 | Karachi, Pakistan
Young poet and story writer from Pakistan.
sochā hī nahīñ tum ne zarā baat se pahle
kyoñ shart rakhī tum ne mulāqāt se pahle
socha hi nahin tum ne zara baat se pahle
kyon shart rakhi tum ne mulaqat se pahle
'iram' ne us ko DhūñDā hai nashīlī sard rātoñ meñ
vo āñkhoñ se rahā ojhal december ke mahīne meñ
'iram' ne us ko DhunDa hai nashili sard raaton mein
wo aankhon se raha ojhal december ke mahine mein
haañ bichhaḌne kā irāda karnā thā so kar liyā
apne dil kā bojh aadhā karnā thā so kar liyā
han bichhaDne ka irada karna tha so kar liya
apne dil ka bojh aadha karna tha so kar liya
mire alfāz meñ us kī halāvat ho ga.ī dāḳhil
mire lahje meñ shāmil ho ga.ī hai guftugū us kī
mere alfaz mein us ki halawat ho gai daKHil
mere lahje mein shamil ho gai hai guftugu us ki
muntazir maiñ chāñd kī aur chāñd merā muntazir
ho nahīñ saktā akele meñ guzārā chāñd kā
muntazir main chand ki aur chand mera muntazir
ho nahin sakta akele mein guzara chand ka
You have exhausted 5 free content pages per year. Register and enjoy UNLIMITED access to the whole universe of Urdu Poetry, Rare Books, Language Learning, Sufi Mysticism, and more.
Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books