Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Fartash Syed's Photo'

Fartash Syed

- 2021 | Pakistan

Sher of Fartash Syed

rañg-o-ḳhushbū kahīñ koī kare zikr to baat

ghuum phir kar tirī poshāk pe aa jaatī hai

rang-o-KHushbu ka kahin koi kare zikr to baat

ghum phir kar teri poshak pe aa jati hai

tire ḳhilāf kiyā jab bhī ehtijāj ai dost

mirā vajūd bhī shāmil nahīñ huā mire saath

tere KHilaf kiya jab bhi ehtijaj ai dost

mera wajud bhi shamil nahin hua mere sath

āsmānoñ pe uḌo zehn meñ rakkho ki jo chiiz

ḳhaak se uThtī hai vo ḳhaak pe aa jaatī hai

aasmanon pe uDo zehn mein rakkho ki jo chiz

KHak se uThti hai wo KHak pe aa jati hai

samajhtā hai ki maiñ kuchh bhī nahīñ tere baġhair

maiñ tire pyaar se inkār bhī kar saktā huuñ

tu samajhta hai ki main kuchh bhi nahin tere baghair

main tere pyar se inkar bhi kar sakta hun

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

Get Tickets
Speak Now