Fayyaz Hashmi
Ghazal 3
Sher-o-Shayari 3
abas nādāniyoñ par aap apnī naaz karte haiñ
abhī dekhī kahāñ haiñ aap ne nādāniyāñ merī
abas nadaniyon par aap apni naz karte hain
abhi dekhi kahan hain aap ne nadaniyan meri
-
Share this
- See Ghazal
chorī ḳhudā se jab nahīñ bandoñ se kis liye
chhupne meñ kuchh mazā nahīñ sab ko dikhā ke pī
chori KHuda se jab nahin bandon se kis liye
chhupne mein kuchh maza nahin sab ko dikha ke pi
-
Share this
- See Ghazal
na tum aa.e na chain aayā na maut aa.ī shab-e-va.ada
dil-e-muztar thā maiñ thā aur thiiñ be-tābiyāñ merī
na tum aae na chain aaya na maut aai shab-e-wada
dil-e-muztar tha main tha aur thin be-tabiyan meri
-
Share this
- See Ghazal
Geet 1
Image Shayari 1
aaj jaane kii zid na karo yuu.n hii pahluu me.n baiThe raho aaj jaane kii zid na karo haa.e mar jaa.e.nge, ham to luT jaa.e.nge aisii baate.n kiyaa na karo aaj jaane kii zid na karo tum hii socho zaraa kyuu.n na roke.n tumhe.n jaan jaatii hai jab uTh ke jaate ho tum tum ko apnii qasam jaan-e-jaa.n baat itnii mirii maan lo aaj jaane kii zid na karo yuu.n hii pahluu me.n baiThe raho aaj jaane kii zid na karo vaqt kii qaid me.n zindagii hai magar chand gha.Diyaa.n yahii hai.n jo aazaad hai.n in ko kho kar mirii jaan-e-jaa.n umr-bhar naa taraste raho aaj jaane kii zid na karo kitnaa ma.asuum ra.ngiin hai ye samaa.n husn aur ishq kii aaj me.araaj hai kal kii kis ko KHabar jaan-e-jaa.n rok lo aaj kii raat ko aaj jaane kii zid na karo yuu.nhii pahluu me.n baiThe raho aaj jaane kii zid na karo