Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Fazl Ahmad kariim Fazli's Photo'

Fazl Ahmad kariim Fazli

1906 - 1981

Sher of Fazl Ahmad kariim Fazli

hai saḳht mushkil meñ jaan saaqī pilā.e āḳhir kidhar se pahle

sabhī āñkheñ ye kah rahī haiñ idhar se pahle idhar se pahle

hai saKHt mushkil mein jaan saqi pilae aaKHir kidhar se pahle

sabhi ki aankhen ye kah rahi hain idhar se pahle idhar se pahle

ahl-e-hunar ke dil meñ dhaḌakte haiñ sab ke dil

saare jahāñ dard hamāre jigar meñ hai

ahl-e-hunar ke dil mein dhaDakte hain sab ke dil

sare jahan ka dard hamare jigar mein hai

hamāre un ke ta.alluq ab ye aalam hai

ki dostī hai kyā zikr dushmanī bhī nahīñ

hamare un ke talluq ka ab ye aalam hai

ki dosti ka hai kya zikr dushmani bhi nahin

āñkhoñ to kaam hai ronā

ye girya-e-be-sabab hai pyāre

aankhon ka to kaam hi hai rona

ye girya-e-be-sabab hai pyare

ġham-e-daurāñ meñ kahāñ baat ġham-e-jānāñ

nazm hai apnī jagah ḳhuub magar haa.e ġhazal

gham-e-dauran mein kahan baat gham-e-jaanan ki

nazm hai apni jagah KHub magar hae ghazal

naqāb un ne ruḳh se uThā.ī to lekin

hijābāt kuchh darmiyāñ aur bhī haiñ

naqab un ne ruKH se uThai to lekin

hijabaat kuchh darmiyan aur bhi hain

fareb-e-karam ik to un hai is par

sitam merī ḳhush-fahmiyāñ aur bhī haiñ

fareb-e-karam ek to un ka hai is par

sitam meri KHush-fahmiyan aur bhi hain

Recitation

Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

Register for free
Speak Now