Firdaus Gayavi
Ghazal 20
Sher-o-Shayari 5
ilm kī ibtidā hai hañgāma
ilm kī intihā hai ḳhāmoshī
ilm ki ibtida hai hangama
ilm ki intiha hai KHamoshi
- Add to favorites
-
Share this
vahī jo detā hai duniyā ko uljhanoñ se najāt
kabhī kabhī vahī uljhan meñ Daal detā hai
wahi jo deta hai duniya ko uljhanon se najat
kabhi kabhi wahi uljhan mein Dal deta hai
- Add to favorites
-
Share this
tamām umr jo hañstā hī rah gayā yaaro
balā kā dard thā us shaḳhs kī kahānī meñ
tamam umr jo hansta hi rah gaya yaro
bala ka dard tha us shaKHs ki kahani mein
- Add to favorites
-
Share this
tum ko aanā hai to aa jaao isī aalam meñ
bigḌe hālāt ġharīboñ ke sañvarte haiñ kahīñ
tum ko aana hai to aa jao isi aalam mein
bigDe haalat gharibon ke sanwarte hain kahin
- Add to favorites
-
Share this
maiñ ek sañg huuñ mujh meñ haiñ sūrateñ pinhāñ
mujhe tarāshne aazar to sāmne aa.e
main ek sang hun mujh mein hain suraten pinhan
mujhe tarashne aazar to samne aae
- Add to favorites
-
Share this
Image Shayari 1
vo zulm-o-sitam Dhaa.e aur mujh se vafaa maa.nge jaise ko.ii gul kar ke diipak se ziyaa maa.nge jiinaa ba.Dii ne.amat hai jiine kaa chalan siikhe.n achchhaa to nahii.n ko.ii marne kii du.aa maa.nge Gam bhii hai udaasii bhii tanhaa.ii bhii aa.nsuu bhii sab kuchh to mayassar hai dil maa.nge to kyaa maa.nge aa.iin-e-vatan par to dil vaar chuke apnaa naamuus-e-vatan ham se ab ra.ng-e-hinaa maa.nge auqaat hai kyaa us kii vo pesh-e-nazar rakkhe insaa.n na ko.ii apne daaman se sivaa maa.nge ramtaa hu.aa jogii huu.n bahtaa hu.aa paanii huu.n hargiz na ko.ii mujh se ab meraa pataa maa.nge phir chehra-e-qaatil kii nazro.n ko zaruurat hai phir kuucha-e-qaatil kii dil aab-o-havaa maa.nge vo sair-e-gulistaa.n ko 'firdaus' jo aa jaa.e muskaan kalii chaahe raftaar-e-sabaa maa.nge