Ghazanfar
Short story 21
Khaka 1
Sher-o-Shayari 13
hamāre haath se vo bhī nikal gayā āḳhir
ki jis ḳhayāl meñ ham muddatoñ se kho.e the
hamare hath se wo bhi nikal gaya aaKHir
ki jis KHayal mein hum muddaton se khoe the
-
Share this
- See Ghazal
rafta rafta āñkhoñ ko hairānī de kar jā.egā
ḳhvāboñ kā ye shauq hameñ vīrānī de kar jā.egā
rafta rafta aankhon ko hairani de kar jaega
KHwabon ka ye shauq hamein virani de kar jaega
-
Share this
- See Ghazal
har ek raat kahīñ duur bhaag jaatā huuñ
har ek sub.h koī mujh ko khīñch laatā hai
har ek raat kahin dur bhag jata hun
har ek subh koi mujh ko khinch lata hai
-
Share this
- See Ghazal
bach ke duniyā se ghar chale aa.e
ghar se bachne magar kidhar jaa.eñ
bach ke duniya se ghar chale aae
ghar se bachne magar kidhar jaen
-
Share this
- See Ghazal
daftar meñ zehn ghar pe nigah rāste meñ paañv
jiine kī kāvishoñ meñ badan haath se gayā
daftar mein zehn ghar pe nigah raste mein panw
jine ki kawishon mein badan hath se gaya
-
Share this
- See Ghazal
Ghazal 14
Nazm 16
BOOKS 47
Image Shayari 1
apnii nazar me.n bhii to vo apnaa nahii.n rahaa chehre pe aadmii ke hai chehra cha.Dhaa hu.aa manzar thaa aa.nkh bhii thii tamannaa-e-diid bhii lekin kisii ne diid pe pahra biThaa diyaa aisaa kare.n ki saaraa samundar uchhal pa.De kab tak yuu.n sat.h-e-aab pe dekhe.nge bulbula barso.n se ik makaan me.n rahte hai.n saath saath lekin hamaare biich zamaano.n kaa faasla majma.a thaa DugDugii thii madaarii bhii thaa magar hairat hai phir bhii ko.ii tamaashaa nahii.n hu.aa aa.nkhe.n bujhii bujhii sii hai.n baazuu thake thake aise me.n ko.ii tiir chalaane kaa faa.eda vo be-kasii ki aa.nkh khulii thii mirii magar zauq-e-nazar pe jabr ne pahra biThaa diyaa