Sher of Gulzar Moradabadi
baḌā dilchasp aur rāhat bharā thā ye safar apnā
chalo ab apnī apnī raah chalte haiñ ḳhudā-hāfiz
baDa dilchasp aur rahat bhara tha ye safar apna
chalo ab apni apni rah chalte hain KHuda-hafiz
ham kahāñ sañbhle bichhaḌ kar us se haañ kah sakte ho
dil lagāne kī sazā hai dil lagāne kī sazā
hum kahan sanbhle bichhaD kar us se han kah sakte ho
dil lagane ki saza hai dil lagane ki saza
tapish se dhuup kī dīvār bhī tap jā.egī 'gulzār'
to behtar hai ki DhūñDo tum kisī gulzār kā saayā
tapish se dhup ki diwar bhi tap jaegi 'gulzar'
to behtar hai ki DhunDo tum kisi gulzar ka saya