Sher of Haji Laq Laq
naam ke saath ek do alfāz kī dum chāhiye
sher phīkā hī sahī lekin tarannum chāhiye
nam ke sath ek do alfaz ki dum chahiye
sher phika hi sahi lekin tarannum chahiye
sāmne aġhyār ke be-parda aur mujh se hijāb
gulguloñ se hai use parhez aur guḌ khaa.e hai
samne aghyar ke be-parda aur mujh se hijab
gulgulon se hai use parhez aur guD khae hai
ban ke leader so rahe to zindagī kis kaam kī
amn qaa.em ho gayā to leaderī kis kaam kī
ban ke leader so rahe to zindagi kis kaam ki
amn qaem ho gaya to leaderi kis kaam ki
jhaḌtī haiñ un ke muñh se jo manzūm gāliyāñ
sun sun ke vaah vaah kiye jā rahā huuñ maiñ
jhaDti hain un ke munh se jo manzum galiyan
sun sun ke wah wah kiye ja raha hun main
ab bhī vo kah rahe haiñ ki mere buzurg ho
kuchh bhī huā na shave karāne se fā.eda
ab bhi wo kah rahe hain ki mere buzurg ho
kuchh bhi hua na shawe karane se faeda
tū vo gul hai ki jis meñ bū hī nahīñ
tū to gobhī kā phuul hai pyāre
tu wo gul hai ki jis mein bu hi nahin
tu to gobhi ka phul hai pyare
kise dāstān-e-masārif sunā.ūñ
maiñ is DheḌh aane meñ kyā kyā banā.ūñ
kise dastan-e-masarif sunaun
main is DheDh aane mein kya kya banaun
naqsh-e-pā-e-yār ko chūmūñ to chūmūñ kis tarah
ho burā patlūn kā mujh se na baiThā jaa.e hai
naqsh-e-pa-e-yar ko chumun to chumun kis tarah
ho bura patlun ka mujh se na baiTha jae hai