Sher of Hammad Hasan
yahāñ ham baiTh kar chaa.e ke ik cup ko taraste haiñ
vahāñ sab le ke biscuit cake ke ambār baiThe haiñ
yahan hum baiTh kar chae ke ek cup ko taraste hain
wahan sab le ke biscuit cake ke ambar baiThe hain
is kī har ek baat maiñ chupke se maan letā huuñ
jis ko ho jaan o dil aziiz us ke ḳhilāf jaa.e kyuuñ
is ki har ek baat main chupke se man leta hun
jis ko ho jaan o dil aziz us ke KHilaf jae kyun
shab biitī chāñd bhī Duub chalā ab paañv dabānā band karo
uTTho jaldī aaTā gūñdho tumheñ nāshta nahīñ banānā kyā
shab biti chand bhi Dub chala ab panw dabana band karo
uTTho jaldi aaTa gundho tumhein nashta nahin banana kya
biivī kī zabān-darāzī se jhunjhlāte ho ghabrāte ho
jab shādī kar hī baiThe ho to phir ab shor machānā kyā
biwi ki zaban-daraazi se jhunjhlate ho ghabraate ho
jab shadi kar hi baiThe ho to phir ab shor machana kya
dahal jaate haiñ biivī kī garaj se
bas ab kuchh aisī hālat ho ga.ī hai
dahal jate hain biwi ki garaj se
bas ab kuchh aisi haalat ho gai hai
saas susar kī ḳhidmat meñ hameñ saarā din lag jaatā thā
phir bhī ham ko biivī ne har baat pe DaañT pilā.ī thī
sas susar ki KHidmat mein hamein sara din lag jata tha
phir bhi hum ko biwi ne har baat pe DanT pilai thi
izzat-e-nafs kā saudā kar ke ḳhuun ke ghūñT piye har dam
bhīgī billī ban kar ham ne apnī umr bitā.ī thī
izzat-e-nafs ka sauda kar ke KHun ke ghunT piye har dam
bhigi billi ban kar hum ne apni umr bitai thi
hamārī billī aur ham se hī myā.ūñ haa.e rī qismat
magar ham kyā kareñ ki qaul apnā haar baiThe haiñ
hamari billi aur hum se hi myaun hae ri qismat
magar hum kya karen ki qaul apna haar baiThe hain