Haneef Kaifi
Sher-o-Shayari 11
muddateñ guzrīñ mulāqāt huī thī tum se
phir koī aur na aayā nazar ā.īne meñ
muddaten guzrin mulaqat hui thi tum se
phir koi aur na aaya nazar aaine mein
-
Share this
- See Ghazal
apne kāñdhoñ pe liye phirtā huuñ apnī hī salīb
ḳhud mirī maut kā mātam hai mire jiine meñ
apne kandhon pe liye phirta hun apni hi salib
KHud meri maut ka matam hai mere jine mein
-
Share this
- See Ghazal
anā anā ke muqābil hai raah kaise khule
ta.alluqāt meñ haa.il hai baat kī dīvār
ana ana ke muqabil hai rah kaise khule
talluqat mein hail hai baat ki diwar
-
Share this
- See Ghazal
tamām aalam se moḌ kar muñh maiñ apne andar samā gayā huuñ
mujhe na āvāz de zamāne maiñ apnī āvāz sun rahā huuñ
tamam aalam se moD kar munh main apne andar sama gaya hun
mujhe na aawaz de zamane main apni aawaz sun raha hun
-
Share this
- See Ghazal
mile vo lamha jise apnā kah sakeñ 'kaifī'
guzar rahe haiñ isī justujū meñ māh-o-sāl
mile wo lamha jise apna kah saken 'kaifi'
guzar rahe hain isi justuju mein mah-o-sal
-
Share this
- See Ghazal