Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Hanif Fauq's Photo'

Hanif Fauq

1926 - 2009 | Karachi, Pakistan

Hanif Fauq

Ghazal 11

Sher-o-Shayari 12

ik janam ke pyāse bhī sair hoñ to ham jāneñ

yuuñ to rahmat-e-yazdāñ chār-sū barastī hai

ek janam ke pyase bhi sair hon to hum jaanen

yun to rahmat-e-yazdan chaar-su barasti hai

udaas rātoñ tīrgī meñ na koī taarā na koī jugnū

kisī naqsh-e-qadam chamke to nuur e'tibār aa.e

udas raaton ki tirgi mein na koi tara na koi jugnu

kisi ka naqsh-e-qadam hi chamke to nur ka e'tibar aae

vaqt laash pe rone ko jigar hai kis

kis janāze ko liye ahl-e-nazar aate haiñ

waqt ki lash pe rone ko jigar hai kis ka

kis janaze ko liye ahl-e-nazar aate hain

maiñ ne apnī palkoñ par ġham-kade sajā.e haiñ

aarzū ke mātam meñ sogvār hastī hai

main ne apni palkon par gham-kade sajae hain

aarzu ke matam mein sogwar hasti hai

unheñ kyā fikr ki pūchheñ dil-e-bīmār haal

be-niyāzāna vo andāz-e-suḳhan hai ki jo thā

unhen kya fikr ki puchhen dil-e-bimar ka haal

be-niyazana wo andaz-e-suKHan hai ki jo tha

BOOKS 27

More Poets From "Karachi"

Recitation

Speak Now