aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
abhī vo ḳhud ko hī dekhe jaatā hai aa.ine meñ
abhī kisī se use mohabbat nahīñ huī hai
abhi wo KHud ko hi dekhe jata hai aaine mein
abhi kisi se use mohabbat nahin hui hai
'hasn-jamīl' tirā ghar agar zamīn pe hai
to phir ye kis liye gum āsmān meñ tū hai
'hasn-jamil' tera ghar agar zamin pe hai
to phir ye kis liye gum aasman mein tu hai
kitnī be-rañg thī duniyā mire ḳhvāboñ kī 'jamīl'
us ko dekhā hai to āñkhoñ meñ ujālā huā hai
kitni be-rang thi duniya mere KHwabon ki 'jamil'
us ko dekha hai to aankhon mein ujala hua hai
ma.alūm huā kaise ḳhizāñ aatī hai gul par
sīkhā hai bikharnā tire inkār se maiñ ne
malum hua kaise KHizan aati hai gul par
sikha hai bikharna tere inkar se main ne
ye raushnī yūñhī āġhosh meñ nahīñ aatī
charāġh ban ke muñDeroñ pe jalnā paḌtā hai
ye raushni yunhi aaghosh mein nahin aati
charagh ban ke munDeron pe jalna paDta hai
Makan Khulte Hain
2009
You have exhausted 5 free content pages per year. Register and enjoy UNLIMITED access to the whole universe of Urdu Poetry, Rare Books, Language Learning, Sufi Mysticism, and more.
Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books