Haya Lakhnavi
Ghazal 4
Sher-o-Shayari 4
nigāh-e-shauq agar dil kī tarjumāñ ho jaa.e
to zarra zarra mohabbat kā rāz-dāñ ho jaa.e
nigah-e-shauq agar dil ki tarjuman ho jae
to zarra zarra mohabbat ka raaz-dan ho jae
-
Share this
- See Ghazal
aah ye barsāt kā mausam ye zaḳhmoñ kī bahār
ho gayā hai ḳhūn-e-dil āñkhoñ se jaarī in dinoñ
aah ye barsat ka mausam ye zaKHmon ki bahaar
ho gaya hai KHun-e-dil aankhon se jari in dinon
-
Share this
- See Ghazal
chaman vahī hai ghaTā.eñ vahī bahār vahī
magar guloñ meñ vo ab rañg-o-bū nahīñ baaqī
chaman wahi hai ghaTaen wahi bahaar wahi
magar gulon mein wo ab rang-o-bu nahin baqi
-
Share this
- See Ghazal
raheñ ġham kī sharar-añgeziyāñ yā-rab qayāmat tak
'hayā' ġham se na miltī gar kabhī fursat to achchhā thā
rahen gham ki sharar-angeziyan ya-rab qayamat tak
'haya' gham se na milti gar kabhi fursat to achchha tha
-
Share this
- See Ghazal