aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Haya Lakhnavi's Photo'

Haya Lakhnavi

Lucknow, India

Sher of Haya Lakhnavi

nigāh-e-shauq agar dil tarjumāñ ho jaa.e

to zarra zarra mohabbat rāz-dāñ ho jaa.e

nigah-e-shauq agar dil ki tarjuman ho jae

to zarra zarra mohabbat ka raaz-dan ho jae

aah ye barsāt mausam ye zaḳhmoñ bahār

ho gayā hai ḳhūn-e-dil āñkhoñ se jaarī in dinoñ

aah ye barsat ka mausam ye zaKHmon ki bahaar

ho gaya hai KHun-e-dil aankhon se jari in dinon

chaman vahī hai ghaTā.eñ vahī bahār vahī

magar guloñ meñ vo ab rañg-o-bū nahīñ baaqī

chaman wahi hai ghaTaen wahi bahaar wahi

magar gulon mein wo ab rang-o-bu nahin baqi

raheñ ġham sharar-añgeziyāñ yā-rab qayāmat tak

'hayā' ġham se na miltī gar kabhī fursat to achchhā thā

rahen gham ki sharar-angeziyan ya-rab qayamat tak

'haya' gham se na milti gar kabhi fursat to achchha tha

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

GET YOUR PASS
Speak Now