Sher of Hazar Lakhnavi
dekhne vaale zamāne kā bhī haq hai mujh par
sab kī nazroñ se chhupā kar mirī tasvīr na dekh
dekhne wale zamane ka bhi haq hai mujh par
sab ki nazron se chhupa kar meri taswir na dekh
ho ke afsurda mirī shūmī-e-taqdīr na dekh
apne pairoñ meñ mire paañv kī zanjīr na dekh
ho ke afsurda meri shumi-e-taqdir na dekh
apne pairon mein mere panw ki zanjir na dekh
dil kī dhaḌkan mire māthe kī shikan hai ki nahīñ
rūh-e-taqdīr samajh ālam-e-taqdīr na dekh
dil ki dhaDkan mere mathe ki shikan hai ki nahin
ruh-e-taqdir samajh aalam-e-taqdir na dekh