Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
noImage

Heera Lal Falak Dehlvi

Delhi, India

Heera Lal Falak Dehlvi

Ghazal 17

Sher-o-Shayari 22

haal bīmār pūchho to shifā miltī hai

ya.anī ik kalma-e-pursish bhī davā hotā hai

haal bimar ka puchho to shifa milti hai

yani ek kalma-e-pursish bhi dawa hota hai

  • Share this

maiñ tirā jalva merā dil hai mere ham-nashīñ

maiñ tirī mahfil meñ huuñ aur mirī mahfil meñ hai

main tera jalwa tu mera dil hai mere ham-nashin

main teri mahfil mein hun aur tu meri mahfil mein hai

  • Share this

maiñ ne anjām se pahle na palaT kar dekhā

duur tak saath mire manzil-e-āġhāz ga.ī

main ne anjam se pahle na palaT kar dekha

dur tak sath mere manzil-e-aghaz gai

mirā ḳhat paḌh liyā us ne magar ye to batā qāsid

nazar aa.ī jabīñ par buuñd bhī koī pasīne

mera KHat paDh liya us ne magar ye to bata qasid

nazar aai jabin par bund bhi koi pasine ki

  • Share this

nazroñ meñ husn dil meñ tumhārā ḳhayāl hai

itne qarīb ho ki tasavvur muhāl hai

nazron mein husn dil mein tumhaara KHayal hai

itne qarib ho ki tasawwur muhaal hai

  • Share this

BOOKS 2

 

More Poets From "Delhi"

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

Get Tickets
Speak Now