Sher of Hina Ambareen Tariq
ik kaj-adā se ham ne jo va.ada hai kar liyā
us ko nibhāne kā bhī irāda hai kar liyā
ek kaj-ada se hum ne jo wada hai kar liya
us ko nibhane ka bhi irada hai kar liya
ḳhazīne sabhī aql ke bāñdh kar
tahayyur kī mahfil sajī hai abhī
KHazine sabhi aql ke bandh kar
tahayyur ki mahfil saji hai abhi
go hai anā-parast magar dost bhī to hai
dil ko ye soch kar hī kushāda hai kar liyā
go hai ana-parast magar dost bhi to hai
dil ko ye soch kar hi kushada hai kar liya
amāvas nahīñ chāñdnī hai abhī
guloñ meñ baḌī dilkashī hai abhī
amawas nahin chandni hai abhi
gulon mein baDi dilkashi hai abhi