Sher of Ibraheem Hosh
rote rote mire hañsne pe ta.ajjub na karo
hai vahī chiiz magar dūsre andāz meñ hai
rote rote mere hansne pe tajjub na karo
hai wahi chiz magar dusre andaz mein hai
lafzoñ se banā insāñ lafzoñ hī meñ rahtā hai
lafzoñ se sañvartā hai lafzoñ se bigaḌtā hai
lafzon se bana insan lafzon hi mein rahta hai
lafzon se sanwarta hai lafzon se bigaDta hai
in hazāroñ meñ aur aap, ye kyaa?
aap, jo ek the hazāroñ meñ
in hazaron mein aur aap, ye kya?
aap, jo ek the hazaron mein
kartā huuñ ek ḳhvāb ke mub.ham nuqūsh yaad
jab se khulī hai aañkh isī mashġhale meñ huuñ
karta hun ek KHwab ke mubham nuqush yaad
jab se khuli hai aankh isi mashghale mein hun
aaj zindāñ meñ use bhī le ga.e
jo kabhī ik lafz tak bolā nahīñ
aaj zindan mein use bhi le gae
jo kabhi ek lafz tak bola nahin
tai kar ke dil kā ziina vo ik qatra ḳhuun kā
palkoñ kī chhat tak aayā to lekin girā nahīñ
tai kar ke dil ka zina wo ek qatra KHun ka
palkon ki chhat tak aaya to lekin gira nahin
yādoñ ne le liyā mujhe apne hisār meñ
merā vajūd hāfiza ban kar sukaḌ gayā
yaadon ne le liya mujhe apne hisar mein
mera wajud hafiza ban kar sukaD gaya
jo chup lagā.ūñ to sahrā kī ḳhāmushī jaage
jo muskurā.ūñ to āzurdagī bhī sharmā.e
jo chup lagaun to sahra ki KHamushi jage
jo muskuraun to aazurdagi bhi sharmae
mirī nazar meñ hai anjām is ta.āqub kā
jahāñ bhī dostī jaatī hai dushmanī jaa.e
meri nazar mein hai anjam is taaqub ka
jahan bhi dosti jati hai dushmani jae